Assalamo-alaikum Dear brother/sister, Please read, print and publish this salaam for blessings. This salaam contains 92 lines. The number 92 is a holy number called as “Adad” of the holy name of our beloved Prophet ( PBUH ). So as if this salaam is granted by our beloved Prophet. The holy quran’s aayat ‘ ya aiyohallajina aamanu salloo alayhe wa sallemoo taslimaa ‘ clearly states to say salaam to beloved prophet respectfully from anywhere and anytime as there is no restriction said and this aayat is read everywhere everytime and hence we must obey the order laid by Allah-the almighty. The word ‘salloo’ is for durud and ‘wasallemu’ is for salaam. Salaam to Prophet ( PBUH ) Aei Aamena ke lal hamaara salaam lo Halima ke laadle hamaara salaam lo Chaand do tukde huwa, ungli ke isaare se Suraj bhi palat aa gaya, ungli ke isaare se Do jahaan ke taajdaar hamaara salaam lo Allah khud bheje tum par durodo salaam Malaaikaa tamaam bhi padhe tum par durodo salaam Jibril ke aei aakaa hamaara salaam lo Do jahaan mein tumharaa koi , shaani hua nahin Arse barin par koi, sivaa tumhare gayaa nahin Meraaj ki saanwale hamaara salaam lo Hajar aur sajar tumko sajada adaa kare Makhluk har tumhari gulaami mein raha kare Do jahaan ke aei mukhtaar hamaara salaam lo Aadam ke saamne jab farishton ko jukaayaa Aadam mein noor tumhara unki samaj mein na aayaa Do jahaan ke raazdaar hamaara salaam lo Tum ho bashar ke beshamein aur ho kheirul bashar Khud noor ho aur noori hai tumhara saaraa paikar Be saayaa noori bashar hamaara salaam lo Saaya nahin hai fir bhi, saayaa tumhara jahaan bhar Har sai chamak rahi hai, jahaan mein idhar udhar Aaka chamkanewale hamaara salaam lo Saayaa tumhare paikar kaa kabhi hua nahin
Saayaa tumhare noorka hai ham par har ghadhi Aei noorim min noorillah hamaara salaam lo Kamli mein humko apni, chhupao mere aakaa Gulaami ki apni ham par, mohar lagao aakaa Mehmood makaamwale hamaraa salaam lo Imaam Ambiyaa aur auliya ke ho Hasnein Ali Fatema ke pyaare tumhi to ho Ham aashikon ke dilbar hamaara salaam lo Shaah hai husein aur badshaah bhi hai husein Deen hai husein aur deen ki panaah husein Pyare husein aur naana jan hamaara salaam lo Teen din aur raat ke bhuke pyaase jo rahe Shamshir ke saaye mein sajada adaa jo kare Shabbir ke aei waali hamaara salaam lo Mushk se bhi pasinaa aapkaa behtar hua kare Pasine se aapke saara Madina mehkaa kare Aei gulshane do jahaan hamaara salaam lo Ilm kaa Madina aap hai aur baab hai Ali Allah ne khud dars dekar banaaya ummi nabi Aei ummi lakab wale hamaara salaam lo Momin ke gam mein gam shoodaa, kher ke liye haath uthaa hua Haaziro shaahid har jagaah , gaib na koi baaki rahaa Aei naaebe aalimulgaib hamaara salaam lo Taaha kahe Yasin kahe, khudaa tumhe kyaa kyaa kahe Sanaa tumhari khudaa kare, ham nachiz bhalaa kyaa kahe Aei raham tal lil aalamin hamaara salaam lo Kausar khudaa ataa kare, chiz kyaa koi baaki rahe Sab khazane ataa huwe, kyon na ham mukhtaar kahe Aei aainaye khud khudaa hamaara salaam lo (Aei qasim-e-khazana-e-khuda hamara salam lo) Hoton par baat aayi na thi ke kiblaa badal gayaa (Aapake dilmein khayaal hi tha ke kiblaa badal gayaa) Ham aashikon ko apnaa thikaana mil gayaa Aei kaabaa ke kaabaa hamaara salaam lo Quran mein khudaa yun kahe, atiullah wa Rasool
Keise bhalaa koi judaa kare Allah se Rasool Allah ke aei mehboob hamaara salaam lo Warafa’ana laka jikrak se, Allah ne saan badhai hai Sab se aala wa oolaa tumhare dar ki rasaai hai Ham gadon ko nibhanewale hamaara salaam lo Ham par hamaara zor nahin, ya Rasool aap koi gair nahin Wapas aanaa hai tumhare ghar , Tum khudaa se judaa nahin La makaan ke aei makin hamaara salaam lo Gunaahon se ham ( Babu ) sharmindaa hai, Aap hamaare shafi’ hai Bakhsish ki ummid lagaaye hai, salwaat wa salaam kehte hai Aei shafiul mujnabi hamaara salaam lo Donon jahaan ke hai baadshaah, ghar mein khajoor aur chataai hai Be misl hai tumhaari saadgi, shaaho ne kheiraat payi hai Aei shaaho ke baadshaah hamaara salaam lo Gaaliyaan sunkar bhi, unko duayen tumne di Bhooke khud rehkar bhi bhookon ki bhuk mitaa hai di Aei garibon ke waali hamaara salaam lo Aap ki jubaan hai khudaa ki jubaan, Aap ka haath hai khudaa ka haath Silsilaa ba silsilaa, hamne pakdaa hai aap ka haath Aei daste kudrat wale hamaara salaam lo Arsh par tum, fars par tum, Jibril ki akal ho gayi goom Ye jahaan hai chij kyaa, Loho kalam ke maalik ho tum Aei fanafillah wa bakaabillah hamaara salaam lo Aatish aur loha milnese, loha aatish banataa hai Khudaa aapako milnese, Khudaa ka jalawaa banataa hai Allah ke aei jalawaagar hamaara salaam lo Anjeer ki jaitoon ki, kasamein khudaane Makkah ki khaai Aapaki adaa Khudaa ko pyaari, Kasamein aapake nisbat ki khaai Hamaare aei niraale nabi hamaara salaam lo Aapakaa har ek fael to, hamaare liye misaal hai Misaalmein kabhi bemisaalmein aapaka dars kamaal hai Hamaare aei bemisl nabi, hamaara salaam lo. Samiun ho Bashirun ho, Alimun aur Nazirun ho Khabarein hamaari, salaam hamaaraa, aei pardaanashin tum sunate ho Kabhi pardaa hataakar aei hamaare nabi, hamaaraa salaam lo.
Request to Prophet ( PBUH ) Jalwaa apnaa dikhaao, ya Rasool, Jalwaa apnaa dikhaao Paawan hamko banaao, ya Rasool, Paawan hamko banaao Ham to fase hai andheron ke ban mein, Raah na suje andheron ke ban mein Ujaalon mein hamko laao, ya Rasool, ujaalon mein hamko laao Nafas ki jaal mein ham hai fase, Saitaan ham par khoob hasen Saitaan se hamko chhuraao, ya Rasool, Saitaan se hamko chhuraao Sidhi raah par chalte jayen, fir na kabhi bhi bhatak ne paye Haath hamaara pakdo, ya Rasool, Haath hamaara pakdo Duniyaa ne mooh mor liyaa hai, Bich bhanwar hamein chhod diyaa hai Paar nayyaa lagaao, ya Rasool, Paar nayyaa lagaao Durudon ke phool aap par dale, Mushkile sab hal ho jaaye Sadkaa nawaason kaa ataa ho, ya Rasool, Sadkaa nawaason ka ataa ho Kamli mein apni chhupaalo, Kaali kamli ke odhanwale Rehmat ki ghataa mein bithalo, Kali kamli ke odhanwale Aap ke dar pe tadap rahe hai, Haath feilaaye khade rahe hai Bhik hamko de do, ya Rasool, bhik hamko de do Gunahon ke dal dal mein doobe, Maaf khudaa kare aap jo maaf kare Maaf hamko kar do, ya Rasool, Maaf hamko kar do Ham hai katraa aur aap samandar, Ham hai katraa aur aap samandar Katre ko samandar mein milaa do, ya Rasool, Katre ko samandar mein milaado Dono jahaan ki sair kare ham, Baala se baala tar mein doobe ham Madawaa aisi pilaado, ya Rasool, Madawaa aisi pilaado Duniya mein laaj rakhna hamaari ( Babu ki ) , Mehshar mein laaj rakhnaa hamaari ( Babuki ) Laaj hamari rakhlo, ya Rasool, Laaj hamaari rakhlo Har dukh dard ki dawaa tum ho, Har marj kaa ilaaj tum ho Shifaa hamko de do, ya Rasool, Shifaa ham ko de do Itnaa karam ho, Itnaa karam ho, Dekhen aapko bhool ke sab ko Apne hi rang mein rang do, ya Rasool, apne hi rang mein rang do
Kun fayakun ki kunchi tum ho, Tumhi sab kuchh hamaare liye ho Kaam hamaara kar do, ya Rasool, Sab kaam hamaara kar do Kamjori tumhe maaloom hamaari, Majboori tumhe maaloom hamaari Bigdi ko hamaari banado, ya Rasool, Bigdi ko hamaari banaa do Khauf hamaaraa door karo tum, gam bhi hamaaraa door karo tum Khauf se hamako bachaao, ya Rasool, gam se hamako bachaao Kheiruddin ke dar se lipte, Chistiya chaadar odhe huwe hai Dil mein apne basaalo, ya Rasool, Dil mein apne basaalo Ham ne apnaa sar hai zukaayaa, hamne apna manwaa sunaayaa Ye Dua ko kar lo kabool, ya Rasool, Ye Dua ko kar lo kabool. From Ismail alias Babubhai Patel Manchwi Gulam-e-Khairuddinshah Chistee, Qadari, Soharwardi, Naqshbandi and Rifaai