YAZEED-The Facts and The Fictions Sach yeh hay k Yazeed-o-Mavia (Razi Allah Anho) k silsiley main awaam k khiyalaat ghussay sey zyada narmi aur taaoo sey zyada halm k matqaazi hain. Woh beycharey na to ilm rakhtey hain aur na gehri baseerat. Jis mahool main unhoon ney aankhein khooliin, paley berhey, wahan Yazeed (RehmatUllah Alaih) ki shakhsiat ek iblees-e-mujassim ki heysiat main mutarif thi. Shia propagandey sey mutasir hazraat ka yeh aalam tha k aankhein band ker k Yazeed (RehmatUllah Alaih) k fasq-o-fujoor per eman rakhtey they. Yeh nafsiat ka usool hay k agar aadmi pehley sey koi aqeeda dil main liye betha rahey to us k dil-o-dimaagh ko wahi dalail-o-shawahid zyada appeal kertey hain aur un dalail-o-shawahid ko woh nazarandaz kerdeta hay ya unki taveel kerletey hain, jo us k aqeeday-o-meelan ki tardeed ker rahey hoon. Yahi tamam masial main hota hay aur yahi Yazeed (RehmatUllah Alaih) k masley main bhi hota raha. Aaj sey nahi sadiyoon pehley sey Mavia (Razi Allah Unho) k ghaali mukhalifeen ka propaganda aur kazb-o-iftra na sirf awaam bulkey perhey likhey tabqey ko bhi mutasir kerta chala aaraha hay aur is ki bunyadi wajah yeh hay k ibtida main jin logoon ney daur-e-khilafat aur us k baad ki tareekhein likhi woh ALI (Razi Allah Unho) k naam per bughz-e-Mavia (Razi Allah Unho) k shikaar they aur Mavia (Razi Allah Unho) ko mataoon-o-Maghbooz tehraaney ka sab sey behter raasta unhein yeh nazar aaya k Mavia (Razi Allah Unho) ney apney jis betey ko khilafat k liye naamzad kerdiya tha usey jee bhar ker mataoon-o-mardood aur fasiq-o-fajir dikhladein. Is ka qudrati aur laazmi nateeja yeh hoga k Mavia (Razi Allah Unho) ki diyanat, deendari aur haqparasti khud ba khud majrooh bulkey mazbooh hoo ker reh jaayegi chunchey who apni is chaal main khuub kamyaab huey aur her shakhs dekh raha hay k achey khaasey perhey likhey Ahl-e-Sunnat Ameer Mavia (Razi Allah Unho) k baarey main sakht na gufta bey khiyalaat k aseer hain aur Hussain (Razi Allah Unho) ki mazloomait ka pasmanzar unhein is qadar warghalagaya hay k ek azeem Sahabi Mavia (Razi Allah Unho) k ek azeem Sahabi Mavia (Razi Allah Unho) ki sahabiat bhi un ki nazar main koi wazni shey baqi nahi reh gayi. Halankey agar who Hussain (Razi Allah Unho) ki mazloomait ko jazbaat ki ainak k bajaye baseerat-o-tadbeer ki ainak sey dekhtey aur ratb-o-yabis sey bhari hui tareekhoon k evaz mehfooz-o-mazboot rivayaat per takya kertey to bilyaqeen un per wazah hota k Ameer Mavia (Razi Allah Unho) ek jalilulqadar sahabi hooney k alawa daur-e-awal k in mumtaaz tareen mudabbereen main sey hain jin per Umer (Razi Allah Unho) jaisey maamla feham, mardam shinaas, aur bey lag mudabbir ney aakhir umer tak bharoosa kya aur jin per Usman (Razi Allah Unho) jaisey jalil-ul-qadar sahabi ney mukammal aitmaad ka qaulan-o-amlan izhar fermaya. Albatta Yazeed (RehmatUllah Alaih) ki jo manqabat aur azeem tareef Sahih Bukhari ki hadees main aati hay, us k bayis hum na to khud Yazeed (Rehmatullah Alaih) per laan taan kersaktey hain aur na un logoon ko is ka mashwara deysaktey hain jo Bukhari ki azmat aur muqaam sey waqif hain. Sahih Bukhari ki hadees hay: “NABI (SAW) ney fermaya k meri ummat ka pehla lashkar jo Qaysar k shehar Qustuntunia per jihad kerega un k liye Allah ki taraf sey Maghfarat hay” (Sahih Bukhari Vol. 1 pg. 410) “Qustuntnuia per sab sey awwal jihad Yazeed (Rehmatullah Alaih) bin Mavia (Razi Allah Unho) ney kya aur un k saath sadaat-e-sahaba misl Ibn-e-Umer, Ibn-e-Abbas, Ibn-e-Zubair, Abu Ayub Ansari (Rizwanullah Ajmain) aur ek jamaat thi” (Hashia Sahih Bukhari Vol. 1 pg. 410) Shareh Sahih Bukari Allama Ibn-e-Hajr Asqalani ney fermaya k: “Is hadees main manqabat hay Mavia (Razi Allah Unho) k farzand Yazeed (Rehmatullah Alaih) ki k unho ney sab say awwal Qustuntunia per jihad kya” (Hashia Sahih Bukhari Vol. 1 pg. 410) Isi tarah Ibn-e-Teemia likhtey hain: “Aur pehli fauj jis ney Qustuntunia per jihad kya us k sardar Ameer Yazeed (Rehmatullah Alaih) they aur lafz fauj ek mauyin tadad hay mutliq nahi yani is fauj k her shakhs ka maghfarat main shamil hoona qavi tar hay. Kaha jaata hay k isi hadees ki khatir Ameer Yazeed (Rehmatullah
Alaih) ney Qustuntunia per jihad kya” (Munhij-ul-Sunnah Vol. 2 pg. 252) Allama Ibn-e-Kaseer likhtey hain: “Abu Ayub Ansari (Razi Allah Unho) jihad-e-Qustuntunia main Yazeed (Rehmatullah Alaih) k lashker main shamil they aur aap ney apney maamlaat ki wasiat bhi Yazeed (Rehmatullah Alaih) ko hi thi aur Yazeed (Rehmatullah Alaih) ney hi unki salaat-ul-mayyat perhai thi” (Albadaya Wannahaya Vol. 8 pg. 58) Zahir si baat hay k Yazeed (Rehmatullah Alaih) ek nake aur swaleh aadmi hi hoongey jabhi to ek Sahabiye Rasool Yazeed (Rehmatullah Alaih) ko apney mamlaat ki wasiyat kertey hain aur un ki supah salari main jang lertey hain aur saarey sahaba Abu Ayub Ansari (Razi Allah Unho) ko salaat-ul-mayyat Yazeed (Rehmatullah Alaih) k peechay ada kertey hain. Chuunkey Abu Ayub Ansari (Razi Allah Unho) ney Yazeed (Rehmatullah Alaih) ko wasiat kit hi k meri mayyat ko Dushman ki sarzameen main jitna duur le jaaker dafan kersako dafan kerna (Albadya Wannahaya Vol. 8 pg. 59). Isi liye Ameer Yazeed (Rehmatullah Alaih) Abu Ayub (Razi Allah Unho) ki mayyat ko Qustuntunia k Qiley ki faseel k paas dafan kya aur fermaya: “ Aey Ahle Qustuntunia! Yeh Hamarey NABI (SAW) k barey sahabi ka janaza hay jin ko hum ney yahan dafan kya hay. Qasam Allah ki afar in ki qabr ko kisi ney nuqsaan pohchaya to sarzameene-Islam main her kaneesa bunyaad sey ukhar ker phiank diya jaayega aur arz-e-arab main phir naqooos ki awaz sunayi na degi” (Tabqaat-e-Ibn-e-Saad pg. 215, Nasikh-ul-Tawareekh Kitab daum pg 66) Imam Ibn-e-kaseer likhtey hain: “ aur Yazeed (Rehmatullah Alaih) ka tazkara muhaddis ABU ZAR’A (Rehmatullah Alaih) ney us tabqa rivayaan-e-hadees main kya hay jo sahaba (r.a) k baad hi aatey hain aur yeh muqaam buland hay.” (Albadaya Wannahaya Vol. 8 pg. 227) Allama Ibn-e-Hajr Asqalani likhtey hain: “ aur ibn-e-shozab neyu biyan kya k main ney Ibraheem bin abi abad sey yeh baat suni hay woh kehtey they k main ney Khalifa Umer bin Abdulaziz ko Yazeed bin Mavia (Rehmatullah Alaih) per ‘Rehmatullah Alaih’ kehtey suna hay” (Lisaan-ul-Meezan Vol. 6 pg. 294) Musab Zubairi (Rehmatullah Alaih) kehtey hain k: “Yazeed (Rehmatullah Alaih) ek swaleh mard-e-mumin they” (Tehzeeb Vol. 6 pg. 300) Allama Ibn-e-Kaseer kehtey hain: “Ek dafa Yazeed (Rehmatullah Alaih) ney Abdullah Ibn-e-Abbas (Razi Allah Unho) k saamney taqreer ki aur jab Yazeed (Rehmatullah Alaih) wahan sey uth gaye to Abdullah Ibn-e-Abbas (Razi Allah Unho) ney fermaya Banu Harb {Harb:Yazeed k perdada ka naam} aur Yazeed (Rehmatullah Alaih) agar Duniya sey chaley gaye to Duniya sey Ulma uth jaayegein” (Albadaya Wannahaya Vol. 8 pg. 229) Isi tarah Encyclopedia of Islam main likha hay k: “ Ameer Yazeed (Rehmatullah Alaih) hud darja haleem-o-kareem, sanjeeda, mateen, ghuror-otakabur sey mubbarra, apni zer-e-dast riyaya k mehboob, tazk-o-ehtishaam-e-shahi sey mutannafir they. Aam sheharyoon ki tarah saada maashrat sey zindagi basar kerney waley aur muhazzib insaan they.” (Encyclopedia of ISLAM pg. 1163) Isi tarah Imam Zehbi aur Allama Ibn-e-Kaseer likhtey hain:
“ Aur Yazeed (Rehmatullah Alaih) ki zaat main qabil-e-sataish sifaat halm-o-karam, fasahat-oshergoi, aur shujaat-o-bahaduri ki thiin. Aur mamlaat-e-hukumat main umda raye rakhtey they aur woh khubsoorat aur khush seerat they.” (Albadaya Wannahaya Vol. 8 pg. 220, Al Islam by Imam Zehbi Vol. 3 pg. 93) Isi tarah Allama Ibn-e-Kaseer likhtey hain: “Ameer Yazeed (Rehmatullah Alaih) ney 51 hijri, 52 hijri aur 53 hijri main logoon ko Hajj keraya aur ameer-e-Hajj k faraiz anjaam diye” (Albadaya Wannahaya Vol. 8 pg 229) Ab aap loog khud soch saktey hain k Yazeed (Rehmatullah Alaih) k peechay saarey sahaba ney Hajj kya. Agar Yazeed (Rehmatullah Alaih) aisey hi hootey jaisa k Shia unko sabit kerney ki koshish kertey hain to kya kabhi Sahaba unko Ameer-e-Hajj banatey. KIRDAAR-E-YAZEED (Rehmatullah Alaih): Rajab 60 hijri main jis waqt ameer-ul-mumineen Mavia (Razi Allah Unho) ki wafat ki khabar Makkah aayi, Hussain (Razi Allah Unho) k chacha Abdullah Ibn-e-Abbas (Razi Allah Unho) wahan maujood they. Muarrikh Bilazari likhtey hain: “ Aur phir Ibn-e-Abbas (Razi Allah Unho) sey kaha gaya k Qasid MAVIA (Razi Allah Unho) k intiqal ki khabar laaya hay. Yeh sunker who der tak khamosh rahey aur phir Dua maangi k Ilahi Mavia (Razi Allah Unho) per apni rehmat wasee kerna, WAllah who un logoon ki misl to na they jo un sey pehley guzar gaye lekin un k baad bhi koi un k misl nahi hay aur un k farzand Yazeed (Rehmatullah Alaih) apney khandaan k nake logoon main sey hain. Tum log apni jagah bethey rehna aur ataat kerna aur baet kerna. Usi waqt Khalid bin-ul-aas jo us waqt makkah k governer they ka qasid aaya aur Ibn-e-Abbas (Razi Allah Unho) ko baet k liye bulaya, Ibn-e-Abbas gaye aur baet ki” (Insaab Walsharaaf lilbilazari pg. 4) Isi tarah Ali (Razi Allah Unho) k betey Mohammad Bin Hanfia jo apney ilm-o-fazal main shaan-eimtiaz rakhtey they unhoon ney Ameer Yazeed (Rehmatullah Alaih) k baarey main kaha k: “Main Yazeed (Rehmatullah Alaih) k paas gaya hoon, un k paas muqeem raha hoon, main ney unko Salaat ki pabandi kerney wala, nake kaam kerney wala, fiqa per guftugoo kerney wala aur Sunnat-e-Nabvi (SAW) ki paervi kerney wala paaya hay” (Albadaya Wannahaya Vol. 8 pg. 243) Imam Ghazali kehtey hain: “ Jo yeh kahey k Yazeed (Rehmatullah Alaih) ney Hussain (Razi Allah Unho) ko shaheed kya woh awwal darjey ka ahmaq aur beywaqoof hay. Hussain (Razi Allah Unho) ko to un k Shiaoon ney Shaheed kya. Hum to Yazeed (Rehmatullah Alaih) ko khalifa berhaq maantey hain aur un per ‘Rehmatullah Alaih’ kehney ko mustahib jaantey hain” (Dafyaat-ul-Aayan pg. 465) Qazi Abu Bakar apni kitan ALAWASIM main biyan kertey hain: “Imam Ahmed Bin Hanbal ney Yazeed (Rehmatullah Alaih) ka tazkara apni kitab ‘Kitab-ul-Zuhad’ main Sahaba k baad aur Tabaeen sey pehley kya hay. Is ka matlab hay k Imam Ahmed Yazeed (Rehmatullah Alaih) ko Khalifa berhaq jaantey they aur jo log Yazeed (Rehmatullah Alaih) per ilzamaat lagatey hain aur un ko fasiq kehtey hain un logoon ko us per sharam aani chahiye” (Kitab-ul-Awasim pg. 333) Isi tarah Allama Ibn-e-Kaseer kehtey hain: “Imam Ghazali ney Yazeed (Rehmatullah Alaih) per sabb-o-shitam kerney sey mana kya hay kyu k Yazeed (Rehmatullah Alaih) musalmaan they aur yeh sabit nahi k woh Qatl-e-Hussain (Razi Allah Unho) sey razi they. Raha Yazeed (Rehmatullah Alaih) per ‘Rehmatullah Alaih’ kehna soo yeh na sirf jaiz hay bulkey mustahib hay aur hum apni salaat main un per rehmat ki dua kertey
hain” (Albadaya Wannahaya Vol. 12 pg. 73) Fatuh-ul-Baldaan main likha hay: “Khaney Ka’aba per sab sey pehley jis ney deebaj ka ghilaaf cherhaya woh Ameer Yazeed (Rehmatullah Alaih) they.” (Fatuh-ul-Baldan pg. 74, Aljamay-ul-Latif pg. 105) Abdullah Bin Jaffer Tayyar (Razi Allah Unho) ka qissa hay: “Abdullah bin Jaffer (Razi Allah Unho) kofiyoon sey kaha kertey they k tum log Yazeed (Rehmatullah Alaih) k baarey main meri achi raye per kya mujhey malamat kersaktey ho. (Albadaya Wannahaya Vol. 8 pg. 230) Abdul Muttalib Bin Rabia Bin Haris Bin Abdul Muttalib Bin Hashim (Razi Allah Unho) jo k Jalil-ulqadar sahabi aur NABI (SAW) k bhateejey they unho ney bhi apney aakhri waqt main Ameer Yazeed (Rehmatullah Alaih) ko hi apna wasi banaya. Allama Ibn-e-Hazm likhtey hain: “Abdul muttalib bin rabia bin haris bin abdul muttalib bin hashim (Razi Allah Unho) sahabi they. Damishq muntaqil hogaye they, wahan unka makaan bhi tha, jab intiqaal hooney laga to Ameer Yazeed (Rehmatullah Alaih) ko unho ney apna wasi-o-waris banaya, woh us waqt Ameer-ulmumineen they aur unho ney is wasiat ko qubool kya.” (Jumharat-ul-Insaab pg. 64, Al istaiaab pg. 213) Yeh Yazeed (Rehmatullah Alaih) ki swalehiat aur acha kirdaar hi to tha jis ki wajah sey ek sahabi aur hashmi buzurg unko apna wasi banarahey hain. Aur yaad rahey k yeh Abdul muttalib bin rabia bin haris bin abdul muttalib (Razi Allah Unho) ki wafaat waqaiya karbala k baad hui hay. Yani k Waqaiya Karbala k baad bhi ek hashmi buzurg Yazeed (Rehmatullah Alaih) ko apna wasi bana rahey hain, kya yeh is baat ka suboot nahi hay k Hussain (Razi Allah Unho) ki shahdat main Yazeed (Rehmatullah Alaih) ka koi haath nahi tha warna kabhi bhi un k hi khaandaan k buzurg Yazeed (Rehmatullah Alaih) ko apna wasi na banatey. Hussain (Razi Allah Unho) ko to koofiyoon ney hi shaheed kya tha. Imam Ibn-e-Teemia likhtey hain: “Ameer Yazeed (Rehmatullah Alaih) kabar-e-tabaeen main sey they, apney walid Mavia (Razi Allah Unho) k alawa doosrey sahaba ki suhbat sey bhi faiz uthaya, jin main Dahya Kalbi (Razi Allah Unho) jalil-ul-qadar sahabi sab sey numaya hain. Dahya Kalbi (Razi Allah Unho) ki behan Sharaaf bint-e-Khalifa Yazeed (Rehmatullah Alaih) k nikah main thi.” (Minhaj-ul-Sunnah pg. 345) Kya yeh nikah is cheez ka suboot nahi hay k Yazeed (Rehmatullah Alaih) ek nake aadmi they warna ek sahabi un k nikah main kabhi bhi apni sagi behan ko na detey. YAZEED (Rehmatullah Alaih) AUR BANU HASHIM K APPSI TALLUQAAT: Bilazari lihktey hain: “Abdullah bin Jaffer Tayyar (Razi Allah Unho) Ameer Yazeed (Rehmatullah Alaih) k paas aaye to unho ney poocha k meray Walid majid Mavia (Razi Allah Unho) aap ko salaana kya diya kertey they. Ibn-e-Jaffer (Razi Allah Unho) ney kaha k 10 lakh, Ameer Yazeed (Rehmatullah Alaih) ney fermaya main ney is ko dugna kya, yeh sunker Ibn-e-Jaffer (Razi Allah Unho) ney kaha k meray maa baap aap ker Qurban! Yeh woh qaul hay jo main ney is sey pehley kisi k liye nahi kaha. Ameer Yazeed (Rehmatullah Alaih) ney fermaya main ney us ko bhi dugna kya. Ameer Yazeed (Rehmatullah Alaih) k khazanchi ney kaha k kya aap Ibn-e-Jaffer ko 40 lakh salana deingey? Ameer Yazeed (Rehmatullah Alaih) ney fermaya: haan Ibn-e-Jaffer (Razi Allah Unho) apna maal taqseem kerdetey hain in ko deney ka matlab hay Ahl-e-Madina ko dena.” (Kitab Ansaab Alashraaf bu Bilzari pg .3) Shareh Nehjul Balagha Ibn-e-Abi Hadees likhtey hain:
“aur Mavia (Razi Allah Unho) duniya main pehley shakhs they jinho ney 10, 10 lakh derham ata kya aur un k ferzand Yazeed (Rehmatullah Alaih) pehley shakhs hain jinho ney isey dugna kya aur yeh atiaat Ali (Razi Allah Unho) k in donoo betoon Hasan-o-Hussain (Rizwanullah Ajmain) ko her saal 10, 10 lakh derham k ata hootey aur isi tarah Abdullah Ibn-e-Abbas aur Abdullah Ibn-eJaffar (Razi Allah Unho) ko bhi diye jaatey” (Shareh Ibn-e-abi Hadeed Vol. 2 pg 823) ab aap log khud soch saktey hain k agar Yazeed (Rehmatullah Alaih) waqai kharab insaan hotey to kya kabhi yeh Hashmi Sahaba-e-Karaam Yazeed (Rehmatullah Alaih) sey atiaat wusool kertey kabhi un sey milney Damishq jaatey. Kabhi nahi. Lekin chuunkey Yazeed (Rehmatullah Alaih) nake aur swaleh jawan they isi liye sab in ko pasand kertey they aur un sey milney damishq aatey they. KHANDAAN-e-ALI AUR KHANDAAN-e-MAVIA (Rizwanullah Ajmaeen) KI RISHTEYDAARIAN: 1-Hussain (Razi Allah Unho) ki bhateeji Abdullah Bin Jaffer Tayyar (Razi Allah Unho) ki beti Umm-e-Muhammad (Rehmatullah Alaih) Yazeed (Rehmatullah Alaih) k nikah main thi .Yeh nikah 53 hijri main hua jab k Yazeed (Rehmatullah Alaih) aakhri dafa Ameer-e-Hajj ban ker Hajj k liye aaye. (Jamhurat-ul-Ansaab by Ibn-e-Hazm pg. 62) Yani Ameer Yazeed (Rehmatullah Alaih) Hussain (Razi Allah Unho) k bhateej damaad they. 2-Hussain (Razi Allah Unho) ki pehli biwi syedda Amna walida Ali Akbar Mavia (Razi Allah Unho) ki haqeeqi bhanji yani Meymoona bint-e-Abu Sufiyan (Razi Allah Unha) ki beti thi. (Jamhurat-ulAnsaab pg. 255 , Tibri Vol. 13 pg. 19). Yani Yazeed (Rehmatullah Alaih) ki sagi phuphi ki beti Hussain (Razi Allah Unho) k nikah main thi. 3-Ali (Razi Allah Unho) ki sagi beti Rimla Ameer Marwaan k ferzand Mavia bin Marwaan k nikah main thi jo Ameer-ul-Mumineen Abdul Malik (Rehmatullah Alaih) k sagey bhai they. (Jamharat-ulInsaab by Ibn-e-Hazm pg. 80) 4-Ali (Razi Allah Unho) ki ek aur beti Khadeeja Ameer Aamir bin kareez Umvi k ferzand Abdul Rehman (Rehmatullah Alaih) k nikah main thi. (Jamharat-ul-Insaab pg. 68) Ali (Razi Allah Unho) k betey Hasan (Razi Allah Unho) ki 1,2 nahi bulkey 6 pootian (grand daughters) Umvi khandaan main biyahi thiin: 5-Nafeesa bint-e-zaid bin Hasan ki shaadi Ameer-ul-Mumineen Waleed bin Abdul Malik bin Marwaan sey hui(Umdata-ul-Talib pg. 44) 6-Hasan (Razi Allah Unho) ki doosri pooti Zainab bint-e-Hasan Masna ki shaadi bhi Waleed bin Abdul Malik sey hui (Jamharat-ul-Insaab pg. 435) 7-Hasan bin Ali (Razi Allah Unho) ki teesri pooti Umm-e-Qasim bint-e-hasan Masna, Usman (Razi Allah Unho) k pootey Marwaan Bin Abaan (Rehmatullah Alaih) ko biyahi thi. (Jamharat-ulInsaab pg. 438) 8-Hasan Bin Ali (Razi Allah Unho) ki chohti pooti Ameer-ul-Mumineen Marwaan (Razi Allah Unho) k ek ferzand Mavia Bin Marwaan (Rehmatullah Alaih) k nikah main thiin. (Jamharat-ulInsaab pg. 80, pg. 100) 9-Hasan Bin Ali (Razi Allah Unho) ki paachvi pooti Hammada bint-e-Hasan Masna Marwaan (Razi Allah Unho) k ek bhateejey k ferzand Ismail bin Abdul Malik bin Haris Bin Hakam k nikah main thii. (Jamharat-ul-Insaab pg. 100) 10-Hasan Bin Ali (Razi Allah Unho) ki chati pooti Khadeeja bint-e-Hussain bin Hasan bin Ali ki
shaadi bhi apni chacheyri behan Hammada k nikah sey pehley Ismail bin Abdul Malik sey hui thi. (Jamharat-ul-Insaab pg. 100) Ab Hussain (Razi Allah Unho) ki auladoon ki chand qarabatein bhi mulahiza kerlein: 11-Hussain (Razi Allah Unho) ki beti Sakeena (Razi Allah Unha) ney apney Shohar Musab Bin Zubair (Razi Allah Unho) k maqtool hoojaney k kuch arsey baad Ameer-ul-Mumineen Marwaan k pootey Alasbagh bin Abdul Aziz bin Marwaan (Rehmatullah Alaih) sey kya jo Ameer-ul-Mumineen Umer bin Abdul Aziz (Rehmatullah Alaih) k bhai they. (Kitab-ul-Maruaf by Ibne-Qatiba pg. 94, Kitab Nasab-e-Quraish pg. 59, Jamharat-ul-Insaab pg. 96-97) 12-Sakeena (Rehmatullah Alaih) ka ek ayr Nikah Usman (Razi Allah Unho) k pootey Zaid bin Umro bin Usman sey hua tha. (Kitab-ul-Maruaf pg. 93, Jamharat-ul-Insaab pg. 79) 13-Hussain (Razi Allah Unho) ki nawasi Rabeeha bint-e-Sakeena jo k un k shohar Abdullah Bin Usman bin Abdullah Bin Hakeem sey thiin, Ameer-ul-Mumineen Merwaan (Razi Allah Unho) k pootey Abbas bin Waleed Bin Abdul Malik Bin Merwaan (Rehmatullah Alaih) k nikah main thiin. (pg. 59 Kitab Nasb-ul-Quraish) 14-Hussain (Razi Allah Unho) ki doosri Sahibzaadi Fatima ka Nikah Saani apney shohar Hasan Masna k baad Umvi Khaandan main Abdullah Bin Umro Bin Usman (Rehmatullah Alaih) sey hua. (Jamharat-ul-Insaab pg. 76, Kitab Nasab Quraish pg. 59) 15-Hussain (Razi Allah Unho) k ek par pootey Hasan Bin Hussain Bin Ali bin Hussain ki shaadi Umvi Khaandaan main Khaleeda bint-e-Merwaan bin Anbasa bin Saad Bin Abi Waqas Bin Umayya sey hui thi. (Jamharat-ul-Insaab pg. 75, Kitab Nasab Quraish pg. 74) 16-Hussain (Razi Allah Unho) k bhai Abbas bin Ali (Rehmatullah Alaih) ki haqeeqi pooti nafeesa bint-e-Ubaidullah bin Abbas bin Ali ki shaadi Ameer-ul-mumineen Yazeed (Rehmatullah Alaih)k haqeeqi pootey Abdullah bin khalid bin yazeed bin mavia sey hui. (Kitab Nasab Quraish pg. 79, Jamharat-ul-Insaab pg 103) Koi bhi zeeaqal insaan in rishteydaarioon ko dekh ker yeh andaza bakhoobi laga sakta hay k Yazeed (Rehmatullah Alaih) k baarey main jitni jhooti baatein pheli hui hain who sab ghalat hain kyu k agar Yazeed (Rehmatullah Alaih) hi hootey jaisa k un k khilaaf propaganda kya jaata hay to kabhi bhi Hashmi Khawateen un k aur un k rishteydaroon k nikah main aana pasand na kerti. Yeh Hashmi Khawateen to itni Baghairat thi k Maut ko galey laga leti, her zulm she leti lekin apney Baap Dada k qatiloon sey nikah nahi kerti. Kya yeh saari rishtey daarian is cheez ka suboot nahi hain k Waqaiya-e-Karbala aisa nahi hay jaisa k biyan kya jaata hay. Bulkey Waqaiye-e-Kerbala ki haqeeqat to sirf itni hay k Hussain (Razi Allah Unho) ko koofiyoon ney khutoot likh likh ker Yazeed (Rehmatullah Alaih) k baarey mainb bharkaya aur un ko yeh bawar keraya k Koofi Yazeed (Rehmatullah Alaih) ki Baet k liye tayyar nahi hain aur phir un ko Khurooj kerney per amada kya. Allama Ibn-e-Kaseer likhtey hain: “Hussain (Razi Allah Unho) k paas Iraq sey kasrat sey khutoot aaye jin main k un ko Iraq chaley aaney ki dawat di gayi thi aur un tehreerat main kaha gaya tha k Kufi Yazeed (Rehmatullah Alaih) k bajaye Hussain (Razi Allah Unho) k haath per baet kerleingey.” (Albadaya Wannahaya Vol. 8 pg. 151) Muarikh Mohammad Khizri likhtey hain: “Hussain (Razi Allah Unho) ney kufiyoon k behkaaney per Yazeed (Rehmatullah Alaih) k khilaaf qadam uthaya halankey tamam loog Yazeed (Rehmatullah Alaih) ki baet main daakhil hogaye they aur Yazeed (Rehmatullah Alaih) sey is mukhalifat k waqt kisi zulm-o-jaur ka izhar nahi hua
tha.” (Muhazirat Tareekh-ul-Umam-ul-Islamia pg. 235) Abdullah Bin Umer (Razi Allah Unho) kehtey hain: “Hussain k liye yeh behtar tha k who kufiyoon ki baat per dhiyan na detey aur apni jagah sey na hiltey aur Yazeed (Rehmatullah Alaih) ki baet main daakhil hoojatey.” (Muhaaj-ul-Sunnah pg. 567, Albaday Wannahaya Vol. 8 pg. 163) Yani k Abdullah bin Umer (Razi Allah Unho) jaisey jalil-ul-Qadar Sahabi Yazeed (Rehmatullah Alaih) ki baet mai n daakhil they aur yeh khwahish kertey they k kash Hussain (Razi Allah Unho) kufiyoon k behkaaye main na aatey. Isi liye jab Hussain (Razi Allah Unho) ney Yazeed (Rehmatullah Alaih) ki baet kerney sey inkaar kediya to Abdullah Bin Umer (Razi Allah Unho) Hussain (Razi Allah Unho) k paas aaye aur fermaya: “Allah sey daro aur in kufiyoon k behkaaney sey koi aisa iqdaam na kero jis sey ummat main tafraqa pheley.”(Tibri Vol. 6 pg. 119) Abu Saeed Khadri (Razi Allah Unho) mashhoor Sahabi ney fermaya: “Hussain (Razi Allah Unho) ney mujhey Baet tourney k liye kaha to main ney kaha k Allah sey daro aur apney ghar main bethey raho aur apney Imam Yazeed (Rehmatullah Alaih) ki baet na tooro.” (Albadaya Wannahaya Vol. 8 pg. 163) Dekh lijiye k yahan ek sahab-i-Rasool Abu Saeed Khadri (Razi Allah Unho) Yazeed (Rehmatullah Alaih) ko apna imam aur un ki Baet na tourney ka keh rahey hain. Agar Yazeed (Rehmatullah Alaih) itney hi burey hootey jitna sabit kya jaata hay to kya Abu Saeed Khadri (Razi Allah Unho) kabhi aisi baat kehtey. Isi tarah Hussain (Razi Allah Unho) ko kufa jaaney waley raastey per roka aur kaha k : “main ney unhey Allah ka waasta dilaya k khurooj na kerein kyu k jo bilawajah khurooj kerta hay woh apni jaan khodeta hay.” (Albadaya Wannahaya Vol. 8 pg. 163) Jabir bin Abdullah (Razi Allah Unho) fermaatey hain: “Main ney Hussain (Razi Allah Unho) sey kaha k kufiyoon sey duur raho aur aadmion ko aadmion sey na larayo.” (Albadaya Wannahaya Vol. 8 pg. 163) Allama Ibn-e-Kaseer kehtey hain: “In logoon k naseehat kerney per Hussain (Razi Allah Unho) ney kaha k main jo HAQ Samajhta hoon woh ker raha hoon. Kufa waloon ko meri zaroorat hay.” (Albadaya Wannahaya Vol. 8 pg. 164) Is sey saaf pata chalta hay k MAAZALLAH Hussain (Razi Allah Unho) ney jaan bhooj ker ghalat iqdaam nahi kya bulkey unho ney jo Haq samjha wahi kya woh alag baat hay k kufiyoon nay unko ghalat baatein bata ker ghalat HAQ samjhaya. Yahi wajah thi k Hussain (Razi Allah Unho) k chacha Abdullah Ibn-e-Abbas un k saath nahi gaye, Hussain (Razi Allah Unho) k sagey bhai Mohammad Bin Hanfia ney bhi Yazeed (Rehmatullah Alaih) ki baet kerli aur Hussain (Razi Allah Unho) k saath nahi gaye, Abdullah ibn-e-Umer (Razi Allah Unho) ney bhi Yazeed (Rehmatullah Alaih) ki baet kerli aur eke k ker k sab sahabion ney Yazeed (Rehmatullah Alaih) ki baet kerli. Aap khud soch saktey hain k aakhir sirf Hussain (Razi Allah Unho) ney hi Yazeed (Rehmatullah Alaih) ki baet toori baqi kisi sahabi ney bhi baet nahi toori. Agar Yazeed (Rehmatullah Alaih) waqai bura tha to phir to yeh saarey sahabi MAAZALLAH burey huey kyu k un main sey kisi ney bhi Yazeed (Rehmatullah Alaih) k zulm k khilaaf Hussain
(Razi Allah Unho) ka saath nahi diya. Hussain (Razi Allah Unho) ney jab Muslim bin Aqeel (Razi Allah Unho) ko kufa halaat ka jaiza layney bejha to Muslim bin aqeel (Razi Allah Unho) k haathoon per 50000 kufiyoon ney baet kerli. Lekin jab Nauman Bin Bashir (Razi Allah Unho) jo k NABI (SAW) k barguzeeda sahabi aur us waqt Yazeed (Rehmatullah Alaih) ki taraf sey kufa k governer they, Muslim Bin Aqeel (Razi Allah Unho) ko khurooj kerney sey mana kya to unho ney kufiyoon k kehney per jang ka élan kerdiya lekin ain jang k waqt saareu kufi Muslim Bin Aqeel (Razi Allah Unho) ko choor ker chaley gaye aur Muslim bin Aqeel (Razi Allah Unho) shaheed hogaye. Lekin Merney sey pehley Muslim bin Aqeel ney ek khat k zariye Hussain (Razi Allah Unho) ko kufa na aaney aur wapis madina palat jaaney ka likha aur kufiyoon k jhoot aur dhookey k baarey main bataya. (Akhbaar-ul-Tool pg. 310) Hussain (Razi Allah Unho) ney usi waqt palat jaaney ka faysla kya lekin kufi aur Muslim Bin Aqeel k bhai Hussain (Razi Allah Unho) k iraday k beech main agaye aur Hussain (Razi Allah Unho) ko kufa jaaney per bazid rakha. (Akhbar-ul-tool pg. 311) Kufiyoon ney to Hussain (Razi Allah Unho) sey yahan tak kaha k: “WALLAH aap ki baat hi aur hay, kahan aap aur kahan Muslim, aap jab kufa per qadam rakheingey to sab log aap ki taraf daur pareingey.” (Tibri Vol. 6 pg. 225) Lekin jab Hussain (Razi Allah Unho) kufa pohchein to ek bhi aadmi un k haath per baet k liye nahi aaya aur Hussain (Razi Allah Unho) ko kufiyoon k ghadar ka Yaqeen ho gaya aur aap ney Damishq ki taraf rukh kerliya. Us waqt aap ney 3 shertein governer Iraq k saamney rakhiin: 1- pehli yeh k aap ko Mumalik-e-Islamia ki serhadoon per bejh diya jaaye aur aap wahan kuffar k khilaaf jihad kerein. 2- Doosri shert yeh k ya to aap ko madina wapis bejh diya jaaye 3- Aur teesri yeh k aap ko apney ibn-e-am Yazeed (Rehmatullah Alaih) k paas bhej diya jaaye. (Nasikh-ul-Tawareekh Vol. 6 pg. 237, Mihaaj-ul-Sunnah pg. 980) Ameer Yazeed (Rehmatullah Alaih) ki fauj k afsar Umer bin Saad bin Abi Waqas (Razi Allah Unho) jo k NABI (SAW) k sahabi aur mamoon zaad bhai they, ney Hussain (Razi Allah Unho) ki teesri shart maan li aur yeh tey paaya k agli subah Yazeed (Rehmatullah Alaih) k paas Hussain (Razi Allah Unho) jaaker baet kerleingey. (Albadaya Wannahaya Vol. 8 pg 301) Hussain (Razi Allah Unho) k saath jo kufi they unho ney jab yeh sulah dekhi to bohat ghabraye aur raat main Hussain (Razi Allah Unho) sey kaha k aap humarey saarey khutoot hum ko wapis dedein lekin Hussain (Razi Allah Unho) ney un ko inkaar kerdiya aur fermaya: “Meray paas ek yahi suboot to hay apney khurooj ka k tum logoon ney kis tarah mujhko warghala ker Imam k khilaaf mujh sey khurooj kerwaya.” (Minhaj-ul-Sunnah pg. 870) is per kufiyoon ney Hussain (Razi Allah Unho) aur un k khandaan waloon per hamla kerdiya. Jab Umer bin Saad (Razi Allah Unho) ki fauj ney Hussain (Razi Allah Unho) k khaymoon sey aag buland hoti dekhi to foran us taraf paltey lekin tab tak kufi apna kaam ker k farar ho chukey they. (Albadaya Wannahaya Vol. 8 pg 670) Yeh thi Waqaye-e-Kerbala ki haqeeqat. Yahi wajah thi k 3 saal k baad jab 64 hijri main jab Madina k kuch logoon ney, jin main ek bhi sahabi shamil nahi tha, Yazeed (Rehmatullah Alaih) ki baet toori to Abdullah Ibn-e-Umer (Razi Allah Unho) ney apney ghar waloon ko jama kya aur Yazeed (Rehmatullah Alaih) ki baet per mustaqeem rehney ko kaha. Sahih Bukhari main hay: “Nafey sey rivayat hay k jab Ahl-e-Madina ney Yazeed (Rehmatullah Alaih) ki baet toordi to
Abdullah Ibn-e-Umar (Razi Allah Unho) ney apney lawahiqeen aur ferzandoon ko jama kya aur fermaya k main ney NABI (SAW) ko kehtey suna k qiyamat k din her ghadar kerney waley k liye ek jhanda nasab hoga. Hum ney Yazeed (Rehmatullah Alaih) sey Allah aur us k Rasool (SAW) k liye baet ki hay agar mujhey maloom hua k tum main sey kisi ney Yazeed (Rehmatullah Alaih) ki baet toori hay ya is shoorish main kisi tarah shareek hua to mera aur uska taluq hamesha k liye munqata hoojayega.” (Sahih Bukhari Kitab-ul-Fatan Vol. 2) Koi bhi aam admi soch sakta hay k agar Yazeed (Rehmatullah Alaih) ney waqai Hussain (Razi Allah Unho) ko shaheed kya hota to kya Abdullah Ibn-e-Umer apney khandaan waloon sey itni sakht baat kehtey. Yazeed (Rehmatullah Alaih) k ehad main 300 k kareeb sahaba zinda they aur un sab ney Yazeed (Rehmatullah Alaih) ki baet kit hi agar Yazeed (Rehmatullah Alaih) waqai ghalat hootey to yeh saarey sahaba Yazeed (Rehmatullah Alaih) ki baet kyu kertey. Agar aaj koi aadmi Yazeed (Rehmatullah Alaih) ko ghalat samjheyga to lamahala us ko saarey Sahaba ko bhi ghalat samajhna parega jinho ney Yazeed (Rehmatullah Alaih) ki baet ki aur unki hukoomat main madadgaar rahey. Is liye ek musalmaan to aisa hergiz nahi soch sakta k saarey sahaba ghalat hosaktey hain is ka matlab hay k Yazeed (Rehmatullah Alaih) waqai jannati they jaisa k NABI (SAW) ney bukhari ki hadees main peshangoi ki hay. Isi liye humein bhi Yazeed (Rehmatullah Alaih) ko barhaq jaana chahiye aur agar Hussain (Razi Allah Unho) k qatiloon ko bura bhala kehna hay to kufiyoon ko bura kahain Yazeed (Rehmatullah Alaih) ko nahi