QURAAN :- Haklakat hai un nap tol karne walaun ke liye, jo lagaun se nap kar lete hai topure latein hai, aur jab dete hain to kami karte hai . HADEES :- Jo Tahajjud me 10 aayaten padta hai, wo us raat Allah ki ibadat se gafil rahne walaun me nahi likha jayega IBN E KHUZAIMA. HADEES :- Awaaz aisi hai ke duniya aur aakhirat me jis par lanat hai : 1, Khushi ke mauque par baje ki awaz. 2, musibat ke waqt rone ki Awaaz. (AL-RAS) HADEES :- Huzur SAW ne farmaya : “Roza rakhne wale ki iftari ke waqt ki huwi dua wapas nahi ki jati” (Dua qubool hoti hai) (AL-RAS) QURAAN :- “Jab Quraan padha jaye to use kan laga kar suna karo aur chup raha karo, taketum par raham kiya jaye.” AL.RAAF24 QURAAN :- “Aur jinko ye (karif log) Allah ke siwa pukarte hai, wo koi chiz bhi nahi bana sakte hai, ke wo khud kisi dusre ke banaye huye Hai.” NAHAL:20 QURAAN :- “Jod zarra barabar bhi nekkam karega wo usko (Anjam) dekh lega,aur jo zarra barabar bhi bura kam karega wo uska (Badla) Dekh lega.” (ZILZAL) HADEES :- RZ:”Mujhe koi aisi chiz bata de jise main mazbuti se pakde rahu”, huzur SAW :”Is ko (Zuban Ko) qabu main rakho”. TABRANI HADEES :- huzur SAW :”Jis maal ke sath zakat ka malmil jata hai, wo zakar ka mal us baqi mal ko halak kiye bagair nahi rahta.” MISHKAT QURAAN:- Kon hai jo allah ke qarz e hasan(Achcha Qarz) de, take wo uske liye kai guna bada chada kar wapas kar de”. AL BAQARAH HADEES:- SAW “Ramzak ke aakhiri ashre ka maut tak aetikar farmate rahe.” BUKHARI, MUSLIM HADEES:- “Jab tumne apne mal ki zakat ada kar di to tum par jo zimmedari thi tumne use pura kar diya” TARMIZI , IBN-E-MAZA HADEES:- “Jab lpo qai, zalat rok leti hai, Allah n par qahat musallat kar dete hai, aur aasman se barish band ho jati hai.” TABRAIN QURAAN:-“Jo log sone aur chandi ko jama karte hain. Aur Allah ke traste me karch nahi karte, un ko dard wale azab ki khush khabri suna do.”
HADEES:-Huzur SAW ne farmaya:”Bhuke momin ko khana khilana magfirat ko wajib karne wale aamal me se hai.” BAIHAQI HADEES:-RZ Allah ke rasul aisa amal bataiye jo mujhe jannat me dakhil kar de?, Huzur SAW ne farmaya :” Allah par iman lawo aur bhali baat kho HADEES:-SAW ne farmaya “ badtarin shakhs wo hai jo dusre ki dunya ke liye apni aakhirat barbad karde” HADEES:-RZ:”Mujhe kioi aisi chiz bata denjise may mazbooti se pakde rahu?” Huzur SAW :”Is ko (ZUBAAN KO) qabu main rakho.” TABRINI QURAAN:- Jo kuch tumhare paas hai (Dunya me) woe k din khatam ho jayega, Jo Allah ke pas hai wo hamesha baqi rahne wali chij hai NAHAL QURAAN:- Apne gharaun me hi ruki raho, aur jis tarah jahili zamane me auraten apni khubsurati ko dikhaya karti thi, us tarahtum mat dikhao AHZAB QURAAN:- “Allah insaf aur bhalai ka aurrishtedaro ke sath achcha suluk karne ka hokum deta hai, aur behayaei aurburi bat aur zulm se rokte hai.” HADEES:- “Aapas me musafa kiya karo, isse keena dur hoga, aapas me tohfa diya karo, muhabbat paida hogi, aur dushmani dur hogi.” QURAAN:- Tumhare rab ki taraf se samajh ki baten aa chuki jisne dekha usne apna bhala kiya aur jo andha raha usne apne liye burai ki ….. (Sureh ANAAM) HADEES:- Huzur SAW ne farmaya munafiq ki 3 nishaniya hai:1. Joot bolna. 2. Wade ke khilaf karma. 3. Amanat me khiyanat karma. (BUKHARI) HADEES:- “Allah qayamat ke din us shakhs ki taraf dekhnega bhi nahi, jo takabbur se apni lungi (pent) takhne se niche pahne.” (BUKHARI) HADEES:- “Zina aur sood kisi basti me zahir ho jaye, to samajh lo ke unhaune apne upar allah ke azaab ko dawat di hai. (HAKIM,AHMED TABRANI) HADEES:- Jo shakhs har farz namaz ke bad “ Ayatal kursi” padega wo dusri namaztak allah ki hifazat me rahega . HADEES:- Huzur SAW ne farmaya” Rishte ko todne wala jannat me dakhil nahi hoga.” (BUKHARI) HADEES:- Huzur SAW me farmaya” Juma ke din ajar ki namaz jamat ke sath panda tamamnamaz se afzal hai.
HADEES:- Huzur SAW” log jab koi buri baat dekhe kphir badalne ki koshish na kare, to warib hai ke Allah un sab par azab bhej de.” HADEES:- “Jo kahin (Gaib ka dawa kerne wale) ke pass aaye, aur uski baat ko sach mane, to Muhammad SAW par uteri hui chiz ka inkar kiya. HADEES:- “Jo aurat eitr aur khushbulaga kar mard ke paas se guzre, take mard uski khushbu mahsus kare, wo zina karne wali aurat hai.” QURAAN:- Keh do ke agar insane aur jinnat is baat par jama ho jaye ke is Quraan jaisi koi kitb le aaye, to is jaisi hargiz nahi la sakte QURAAN:- Logo apne rab ki ibadat karo jisne tum ko aur tum se pehle ke logaun ko paida kiya, take tum uske azab se bach jawao (AL BAQRA) QURAAN:- Ae imaan walo koi qaum dusri qaum ka mazaq na Karen, kiya khabar ke wo inse behtar ho, aur koi aurat dusri aurat ka mazaq na kare (HUZRAT) QURAAN:- Jo Allah se darega, Allah uske liye mushkilat se nikalne ka rasta paida karega, aur aisi jage se rozi dega jiskausko guman bhi na hoga. QURAAN:- “Aur jo allah par bharosa rakhega to Allah use liye kafi ho jayega, Allaj to apna kam jis ko wo chahta hai pura kar hi deta hai.” QURAAN:- “Ae hamari qaum! Allah ki taraf bulane wale ki baat lp qabool karo, aur us par iman le aawo, tumhare gunah maaf karega” QURAAN:- “Kya insane nahi janta ki ek din qabar ke murde bahar nikale jayenge, aur dilaun main hai wo sab zahir kiya jayega.” *KAABA- THE HOUSE OF ALLAH IN MECCA. THEKAABA IS COVERED BY A BLACK CLOTH KNWN AS “KISWA”WHICH IS PRODUCED & CHANGED EVERY YEAR SPECIAL FACTORY DECIGNED FOR THE MAKING OF “KISWAN” IN MECCA WDW… IT COSTS APPROXLY SR 17 MILLION. THE CLOTH IS MADE OF 670Kg OF SILVER & DYED BLACK ABOUT 120Kg OF PURE GOLD & 50Kg OF SILVER USED IN WRITING THE QURANIC VERSES OVER THE CLOTH THE TOTAL AREA OF CLOTH IS 658 sqr meter. QURAAN:-“Aur allah ke raste me kharch kiya karo, aur apne aap ko apne hathaun hilakat me mat dalo, aur jo kam karo achchi tarah karo.” QURAAN:-“Beshak jin lagaun ne kah diya ke Allah hi hamara rab hai phir ispar jam gaye, un ke liye na koi dar hai, aur na wo gamgeen honge.
QURAAN:-“Mominmardaun se keh do ke wo apni nazraun ko nichi rakha Karen, aur apni sharamgah ki hifazat kiya Karen.” HADEES:- Huzur SAW ne farmaya “2 waqt ki dua wapas nahi ki jati :1. Azan ke waqt ki dua 2. Islam ke dushman ke sath sakht ladai shuru hone ke baad QURAAN:-“Aur jis ka Nam-E-Aamal pith piche se diya jayega. Wo maut ko pukaregaaur dozakh me dakhil hoga. Ye apne ghar walaun main mast raha karta tha HADEES:- SAW ne farmaya “Jis kedil me zara barabar bhi takabbur hoga, Allah usko chehre ke bal aag me dal denga” QURAAN:- “Aur neki aur taqwa ke kamaun me ek dusre ki madad kiya karo, aur gunahaur zulm ke kamaun par ek dusre ki madad mat kiya karo