Moula Mere Mujhse Na Ruthnaa - Urdu Poem

  • May 2020
  • PDF

This document was uploaded by user and they confirmed that they have the permission to share it. If you are author or own the copyright of this book, please report to us by using this DMCA report form. Report DMCA


Overview

Download & View Moula Mere Mujhse Na Ruthnaa - Urdu Poem as PDF for free.

More details

  • Words: 212
  • Pages: 4
MOULA SE DARKHWAAST

A Poem in Urdu

Moula se Darkhwaast Moula mere mujhse na ruthnaa Ruth jaye saari Dunya Tun kabhi na ruthnaa Moula mere mujhse na ruthnaa Tun agar ruth gayaa To jaaun mei kahaan Darvaza khatkhataun kiska Kisko kahun apnaa Moula mere mujhse na ruthnaa… Maanaa ke mei gunnahgaar hun Par tun bhi to bhara Rahmaan hai Teri is azeem shaan ke sadke Gunnah mere mu’aaf karnaa Moula mere mujhse na ruthnaa… Lamhe guzar jaatein hein Na parhta hoon tera Kalaam na karta hoon tera zikr Meri is la-parwahiko nazar andaz karnaa Moula mere mujhse na ruthnaa…

Kitni naimatonse nawaaza hai tune Firbhi karta hun teri na-farmaani Sunle qasoorwarki yeh iltijah Mujh par nigahen karam karnaa Moula mere mujhse na ruthnaa… Mujhko kabhi azmana nahin Imaan mera kamzor hai Teri Paak zaat ke tufeil mein Saaya tera mujh par rakhnaa Moula mere mujhse na ruthnaa… Tun mujhe apnaa banale Mujhe aur chaahiye kya Hashr ke maidaan me Fainsla mere haq me karnaa Moula mere mujhse na ruthnaa… Yehi tamannaa hei ke Qiyamat ke roz Mujhe tere Arsh ka saya mile Aur nasib ho Nabi (SAW) ke Mubarak hathonse Hauz-e-Kauthar se peenaa

Moula mere mujhse na ruthnaa Ruth jaye saari Dunya Tun kabhi na ruthnaa Moula mere mujhse na ruthnaa

…Ameen

Related Documents

Mere
June 2020 16
Mere Hamdam Mere Dost
November 2019 23
Mere Men?
May 2020 9
Is Mere
November 2019 18