Jagdev zahill RAHGIROAN SE KAH DO KOI KI, DAVE PANV JANYEN, MERA DIL DHARKATA HAI. TASHVEEROAN SE BHI KAH DO KOI, KI MUNH CHHUPA KE JANYEN, MERA DIL DHARKATA HAI. Tere gham ko di hai maine, ik bahar ki soorat--Har lamhe ko de hai maine, ik intzaar ki soorat--Tera gham raha mere dil main, ik khaar ki soorat--( khar—kanta) Tum garaon se bhi milte the, ik payar ki soorat---In sooratoan se kah do koi ki, kisi aur zahn main jayain, MERA DIL DHARKATA HAI. Tune shamma kya jalai, sab dayar jal gaye------Teri wo rahan jal gai, mere intzaar jal gaye-----Bin aag ke jalane laga tha har ik ka wadan-----Kuchh kurban hone aaye the kuchh bekaar jal gaye--Mahphiloan main kah do koi ki, ab shamma na jalain; MERA DIL DHARKATA HAI. Ab to sara zahan, tanha lagta hai, Jo tav tha ab wo, sapna lagta hai, Dil ka rishta dard se ya dard ka dil se, Pata nahain rishte main kon kis ka kya lagta hai? Zamane main kah do koi ki phir se rishte ne banayen, MERA DIL DHARKATA HAI. RAHGIROAN SE KAH DO KOI KI, DAVE PANV JANYEN. MERA DIL DHARKATA HAI. TASHVEEROAN SE BHI KAH DO KOI, KI MUNH CHHUPA KE JANYEN MERA DIL DHARKATA HAI.