Mein Khayal Hoon Kisi Aur Ka Mujhe Sochta Koi Aur Hai Sar-E-Aeenah Mera Aks Hai Pas-E-Aeenah Koi Aur Hai Mein Kisi Keh Dast-E-Talab Mein Hoon To Kisi Keh Harf-E-Dua Mein Hoon Mein Naseeb Hoon Kisi Aur Ka Mejhe Maangta Koi Aur Hai Ajab Aitabar-O-Bey Aitabaree Keh Darmayan Hai Zindagi Mein Qareeb Hoon Kisi Aur Keh Mujhe Jaanta Koi Aur Hai Mujhe Doston Ka Pata Nahin Mujhey Dushmanon Ki Khabar Nahin Meri Daastan Koi Aur Thi Mera Waaqaya Koi Aur Hai Jo Milen Kabhi Unhen Poochna Dekhna Unhen Ghaur Sey Jinhen Raastey Mein Khabar Hui Keh Yeh Raasta Koi Aur Hai Jo Meri Reyazat-E-Neem Shab Ko Saleem Subh Na Mil Saki To Is Key Mani To Yeh Hue Keh Yahan Khuda Koi Aur Hai
Raaste badal jaate hain, manzilain badal jaati hain, Kion nahin badalte dil jo taqdeerain badal jaati hain Dil wohi rehta hai, yaadon ki anginat karchaiyaan le ker, Aankhon ki nami chupa kar, nazrain badal jaati hain Rooh rehti hai har lamha ashkbaar, lab hanste hain Bahar aur andar kis tarah fizaain badal jaati hain Koi hota hai rafta rafta zindagi se door,bohot door Haathon ki yeh lakeerain kion aksar badal jaati hain ???
hume mubat k anjam par roona aya jane q ajj tere naam par rona aya q har sham umedo me guzar jati thi ajj khcuh baat hay jo sham par roona aya kabhi taqdeer ka matam kabhi duniya ka gilla manzile ishq par har gaam par rona aya
jab howa zikar muhbaat ka zamine me hum ko apne dil nadan par roona aya