lyrics of the title song for bharat ek khoj lyrics : pt. vasant deo music : vanraj bhatia srushtee se pehle sat nahin thaa, asat bhi nahin antariksh bhi nahin, aakaash bhin nahin thaa chhipaa thaa kyaa kahaan, kisme dhakaa thaa.. us pal to agam, atal jal bhi kahaan thaa shushtee kaa kaun hain kartaa kartaa hain yeh vaa akartaa oonche aasmaan mein rahtaa sadaaa adhyaksh banaa rahtaa wohin sach much mein jaantaa..yaa nahin bhi jaanataa hain kisi ko nahin pataa nahin pataa nahin hai pataa, nahin hai pataa @@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@ end voh tha hiranya garbh srishti se pehle vidyamaan vohi to saare bhoot jaat ka swami mahaan jo hai astitvamaana dharti aasmaan dhaaran kar aise kis devta ki upasana kare hum avi dekar jis ke bal par tejomay hai ambar prithvi hari bhari sthapit sthir swarg aour sooraj bhi sthir aise kis devta ki upasana kare hum avi dekar garbh mein apne agni dhaaran kar paida kar vyapa tha jal idhar udhar neeche upar jagaa chuke vo ka ekameva pran bankar aise kis devta ki upasana kare hum avi dekar om ! srishti nirmata swarg rachayta purvaj rakhsa kar satya dharma palak atul jal niyamak raksha kar phaili hain dishayen bahu jaisi uski sab mein sab par aisi hi devta ki upasana kare hum avi dekar aisi hi devta ki upasana kare hum avi dekar