1)
Aasuo ko palko tak laaya na karo Dil ki baat kisi ko bataya na karo log mutthi mein namak liye phirte hai apne zakhm dikhaya na karo......
2)
khaali sheeshe bhi nishaan rakhte hai Toote hue dil bhi armaan rakhte hai Jo khamoshi se guzar jaaye woh dariya bhi dil mein toofan rakhte hai
3)
Tanhaaiyon se nahi hum mehfil se darte hai Duniya se nahi hum khud se darte hai bahut kuch khoya hain humne na jaane aur kuch khone se darte hai
4)
Woh humse ruswa hai ke hum gairon ke dekh kar muskuraate hai par woh kya jaane ke humein sabhi chehro mein woh nazar aate hai
5)
kabhi kisi se duur udna chaaha toh judaai ka ehsaas hua kabhi apni hasratein bayan karni chaahi toh zamaane ke riwaajo ka ehsaas hua kabhi kisi ko apna banana chaaha toh inkaar ka ehsaas hua kabhi kisi ki nafrat paayi toh mohabbat ka ehsaas hua itni gaflat mein ae dost yeh zindagi kat rahi hai ke kabr ke paas se guzre tabhi maut ka ehsaas hua
6)
Palko ke kinaare jo humne bhigoye nahi woh sochte hai ke hum roye nahi woh puchte hai ke khwaab mein kya dekha aur hum hai ke arson se soye nahi
7)
Gile kaagaz ki koi jalata bhi is kadar akele koi satata bhi
tarah hai zindagi apni nahi bahaata bhi nahi hai rahon mein dil ki nahi aur manaata bhi nahi