. Shayaries Bhoolne waale se koyi keh de zara is tarah yaad aane se kya faaida, Jab mere dil ki duniya basaati nahin phir khayaalon mein aane se kya faaida Kya kahoon aapse kitni umeeden thi Aap kya badle duniya badal si gayi, Aasra de ke dil tod te hain mera Is tarah sataane se kya faaida, Chaar tinke jala ke kya mil gaya Mit sakana zamane se mera nishaan, Mujhpe bijli girao to jaanu sahi Aashiaan par girane se kya faaida Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana Na jaane kahan kho gaya vo zamana tumhen bhuulane ki main koshish karunga ye vaada karo ke na tum yaad aana mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai tumhen bevafaa keh raha hai zamana Khud meri qabr pe tum na aana tumhen dekh kar shaq karega zamana Is hasrat se mila kya mujhko Ik jhalak mere dildaar ki Is muhabbat se mila kya mujhko Bechaini-o-beqarari yaar ki. Is ashiqui se mila kya mujhko Ik sunahri raah ishq ki, Aur tere pyaar se mila kya mujhko Ik raah jeene ki hamvaar si. Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya, Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya.. Yun to har shaam ummeedon me guzar jaati thi, Aaj kuch baat hai, jo shaam pe rona aaya.. Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila, Manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya... Jab hua zikr zamaane me mohabbat ka Mujhko apne dil-e-bekaam pe rona aaya
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi, kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi, Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya, lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi, Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se, gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi, Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se, kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi. Wada to ker lete hain Nibhana bhool jate hain Lagaa kar aaag seene main Bujhana bhool jate hain Kuch na kisi se bolenge tanhaai mein ro lenge hum be-rahbaron ka kya saath kisi ke ho lenge Khud to hue rusvaa lekin tera bheid na kholenge jeevan zeher bhara saagar kab tak amrit gholenge neend to kya aaegi maut aai to so lenge Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai tere haathon ki lakiiron mein mera naam to hai Mujhko tu apnaa bana ya na bana teri Khushi tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai ..... Mere hisse mein koi jaam na aayaa na sahi teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai Dekh kar log mujhe naam tera lete hain is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to hai ..... Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko shukr is dil-e-bimaar ko aaraam to hai Dost ban ban ke mile mujhko mitaane vaale mai ne dekhe hain kai rang badalane vaale ........ Tumne chup rahkar sitam aur bhi dhaaya mujh par tumse acche hain mere haal pe hansne vaale... Mai tou ikhlaaq ke haathon hi bikaa kartaa hoon aur honge tere baazaar mein bikne vaale ...... Aakhri daur pe salaam-e-dil-e-muztar le lo phir naa lautenge shab-e-hijr pe ronevaale
Tera Chehra, Teri Yaadain Her Pal Mere Saath Raheen Teri Batein Dharkan Ban Ke Rug Rug Main Din Raat Baheen Neend Uri Aankhon Se Ab To Jeena Bhi Dushwaar Hua Tu Hai Ab Is Dil Ki Dharkan Main Tera Dil Daar Hua Is dil ne tujh main jaane kya dekha Zindagi ki dhoop, muhabbat ka saweraa dekha Khoye khoye si zindagi thee meri Tu aaye to khuli aankh ne bhi sapna dekha Dil si cheez hai, dene ko hai de day Magar koi qabeel bhi to ho Hum to jaan de kay bhi khush hain Magar koi qateel bhi to ho Aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo Log muth-thi bhar namak liye ghooma karte hain Apne Zakham kisi ko dikhaaya na karo Tapish Suraj Ki Hoti Hai, Jalna Zameen Ko Parta Hai Qusur Aankhon Ka Hota Hai, Tarapna Dil Ko Parta Hai Mohbbat karna koi zulm nahi, Agar ki jaye usool se, Khuda ko bhi muhabbat thi, Apne rasool se Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De Tera Mujrim Hoon, Mujhe Dub Ke Mar Jaane De Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De...
Dil Ko Manana Gar Hota Aasaan Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshan Tanha Na Rehta Bhari Mehfil Main Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan Ashq Mile To Pee Lete Hain Aap Kahe To Mar Jayen Hum Aap Kahe To Jee Lete Hain Hum To Hain Un Phoolon Jaise Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain Mujhe Is Baat Ka Gum Nahi Key Badal Gayaa Zamaana Meri Zindagi To Sirf Tum Ho, Kahin Tum Na Badal Jaana Satchaye Chup Nahi Sakti, Banawti Usulon Se Khushbu aa Nahi Sakti, Kagaz Ke Phoolon Se Woh to Khushbu Hai, Hawaon Main Bikhar Jayega Masla Phool Ka Hai, Phool Kidhar Jayega Hum To Samjhe The Ke ik Zakham Hai Bhar Jayega Kya Khabar Thi Ke Rug-E-Jaan Main Utar Jayega Jab Paas Ho To Rukh Se, Nigahain Na Morna Jab Door Ho To Mera, Tasavvur Na Chorna Aye Dost!!! Dil Lagane Se Pehle Ye Sonch Le Mushkil Bahut Hai, Rishton Ki Zanjeerain hain Torna Chehrey Per Banawat Ka Gussa, Aankhon Se Chalakta Pyar Bhi Hai, Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai. Ishq ke phool bhi khilte hain, bikhar jaate hain zakhm kaise bhi hon, kuch roze main bhar jaate hain Us khwabon main ab koi nahi aur hum bhi nahi Itne roze se aaye hain, chup chaap guzar jaate hain Nurm aawaaz, bholi baatain, mohazzab lehjaa Pehle baarish main hi, sab rang utar jaate hain Raasta roke khari hai, wahi uljhan kab se Koi puche to kahen kya ke kidhar jaate hain
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se Safeena doob raha hai, to koi baat nahi Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi Kise majaal kahe koi mujh ko deewana Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah Mast Nazron se dekh lenaa tha.. Agar tamanna thi aazmane ki.. Hum to behust youn hi ho jaate.. Kya zaroorat thi muskurane ki Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa aa phir se mujhe chod ke jaane ke liye aa....... Pahale se maraasim na sahii phir bhi kabhi tou rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa. Kis kis ko batayenge judaai ka sabab ham tu mujhse khafaa hai tou zamaane ke liye aa ......... kuch tou mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi maharuum aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa... ab tak dil-e-khushfeham ko tujh se hain ummiden ye aakhari shammen bhi bujhaane ke liye aa Ishq ke lamhe sharaab lagte hain Kuch chehre mehtaab lagte hain Dukh itne sahe mohabbat main guzre hue Ke har lamhe hi azaab lagte hain In Udaas Muskurahaton Ke Peeche, Gum Ke Railey Hain Ab Tumhain Kya Batayein, Ke Tum Bin Kitne Akele Hain
Koi ummeed bar nahin aati Koi soorat nazar nahin aati maut ka ek din muayyan hai need kyon raat bhar nahin aati aage aati thi hale dil pe hansi ab kisi baat par nahin aati janta hoon sababe-taato-zahad par tabeeat idhar nahin aati Hai kuchh aisi hi baat jo chup hoon, varna kya baat kar nahin aati kyon na cheehkoon ki yaad karte hain meri awaaz gar nahin aati marte hain aarzoo me marne ki maut aati hai par nahin aati kab kis munh se jaoge Ghalib sharm tumko magar nahin aati Dhoondhta Phirta Hoon Main Logon Main Shabahat Uski Ke Woh Khwabon Main Bhi Lagti Hai Khyalon Jaisi Badnaam mere pyaar kaa afsana hua hai deewane bhi kahte hain ki deewana hua hai ........ Rishta tha tabhi tou kisi be-dard ne todaa apnaa tha tabhi tou koi be-gaanaa hua hai . Baadal ki tarah aake baras jaaiye ik din dil aap ke hote huye viraana hua hai .... Bajte hain Khayaalon mein teri yaad ke ghunghroo kuch din se mera ghar bhi pari-Khana hua hai . Mausam ne banaya hai nigaahon ko sharaabi jis phool ko dekhun wahi paimana hua hai ... Bebasi jurm hai hauslaa jurm hai zindagi teri ik-ik adaa jurm hai aye sanam tere baare mein kuch sochkar apne baare mein kuch sochna jurm hai yaad rakhna tujhe mera ek jurm tha bhool jana tujhe doosra jurm hai kya sitam hai ke tere hasin sheher mein har taraf gaur se dekhna jurm hai
Mohabbat kar ke dekhi to, mohabbat ko pehchana hai Wafa bus naam ki hai, be-wafaai ka fasana hai Tum mujhe bhool kar to dekho Har khushi routh jayegi Jab akele tum baithogi Khud-ba-khud meri yaad aayegi Kaate nahi kat te hain lamhe intezaar ke Nazarein jama ke baithe hain raste pe yaar ke Dil ne kaha dekhein jo jalwe husn-e-yaar ke Layaa hai koun inko, phalak se utaar ke Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye Yeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur Hai Main Tanha Gunehgar To Nahi