HOLI KA PAIGAM har rang bemaana sa lage agar uska rang naheen usoolvaar kehne lage, hame jeene ka dhang naheen aaj kasam khaayi har roz marne ki dil mein utarne ki, kar guzarne ki aaj aao tum bhi dekh lo, vo kiske sang naheen har rang bemaana sa lage agar uska rang naheen khule ghoomte raho, lete raho maje duniya ki sair ke raho apne se nawaqif, pyaar pe qurbaan jao har ek gair ke thami hamari dor usne, ab ye rahi tooti patang naheen har rang bemaana sa lage agar uska rang naheen apne banaye mandir kaabe poojte raho le talwar haath mein usko dhoondhte raho panaah li hai usne dil mein, poocho hua kitna tang naheen har rang bemaana sa lage agar uska rang naheen roz maut ka intezaam kar liya, aisa kaam kar liya arse se karte aaaye badi, neki se hamaam bhar liya marna hai is hamman mein barahbaar, koi hogi jang naheen har rang bemaana sa lage agar uska rang naheen thaam lo haath uska jo le jaayega tumko paar karega aisee bakshish ke tum aaoge na har baar sachche ghar chalo, dimaag ki jahan jati tarang naheen har rang bemaana sa lage agar uska rang naheen har rang bemaana sa lage agar uska rang naheen usoolvaar kehne lage, hame jeene ka dhang naheen
BE COLORED Love Light and Peace -N