Hoga Tumse Pyara Kaun Hoga Tumse Pyara Kaun, Humko To Tumse Hai Hey Kaanchi, Hey Kaanchi, Pyaar... Oonche Gharwali Ho, Ya Galiyon Ki Rani Koi Bhi Ho Tum Rehti Ho Kahin Tumse Badhke Yaara Kaun Humko To Tumse Hai Hey Kaanchi... Arey Dekho In Aankhon Mein Yeh Surat Hai Kiski, Ek Nazar To Dekho Kumse Kum Aakhir Hai Hamaara Kaun Humko To Tumse Hai Hey Kaanchi... Kehte Ho Ke Jao, Lekin Batlaao Jaayen Bhi To Jaayen Hum Kahan Aisa Dil Ka Maara Kaun Humko To Tumse Hai hey Kaanchi
Dil Ke Armaan Dil Ke Armaan Aansuon Mein Beh Gaye Hum Wafa Karke Bhi Tanha Reh Gaye Zindagi Ek Pyaas Bankar Reh Gayi Pyar Ke Kisse Adhoore Reh Gaye Shayad Unka Aakhri Ho Yeh Sitam Har Sitam Yeh Sochkar Hum Seh Gaye Khudko Bhi Humne Mita Daala Magar Faasle Jo Darmiyaan The Reh Gaye
Aaye Tum Yaad Mujhe Aaye Tum Yaad Mujhe Gaane Lagi Har Dhadkan Khushboo Laayi Pawan, Mehka Chandan Jis Pal Naino Mein Sapna Tera Aaye Us Pal Mausam Par Mehndi Rach Jaaye Aur Tu Ban Jaaye, Jaise Dulhan Aaye Tum Yaad Mujhe... Jab Maein Raaton Ko Taare Ginta Hoon Aur Tere Kadmon Ki Aahat Sunta Hoon Lage Mujhe Har Tara, Tera Darpan Aaye Tum Yaad Mujhe... Har Pal Man Mera Mujhse Kehta Hai Jiski Dhun Mein Tu Khoya Rehta Hai Bhar De Phoolon Se, Uska Daaman Aaye Tum Yaad Mujhe...
Phir chhidi raat baat Phir chhidi raat baat phoolon ki, Raat hai ya baarat phoolon ki. Phool ke haar , phool ke gajre, Shaam phoolon ki, raat phoolon ki. Aap ka saath, saath phoolon ka, Aap ki baat, baat phoolon ki. Phool khilte rahenge duniya mein, Roz nikalegi baat phoolon ki. Yeh mehekti hui ghazal makh doo, Jaise sehera mein raat phoolon ki.
Dekho Maine Dekha Hai Dekho Maine Dekha Hai Yeh Ek Sapna Phoolon Ke Shehar Mein Hai Ghar Apna Kya Sama Hai, Tu Kahan Hai Maein Aayi Aayi Aayi Aayi, Aaja Kitna Haseen Hai Yeh Ek Sapna Phoolon Ke Shehar Mein Hai Ghar Apna Kya Sama Hai, Tu Kahan Hai Maein Aaya Aaya Aaya Aaya, Aaja Wahan Tera Mera Naam Likha Hai, Rasta Nahin Yeh Aam Likha Hai Yeh Hai Darwaaza Jahan Tu Khadi Hai Andar Aajao Sardi Badi Hai Yahan Se Nazaara Dekho Parvaton Ka Jhanku Maein Kahanse, Kahan Hai Jharokha, Yeh Yahan Hai, Tu Kahan Hai... Achha Yeh Batao Kahan Pe Hai Paani Bahar Beh Raha Hai Jharna Deewani Bijli Nahin Hai Yahi Ek Gham Hai, Teri Bindiya Kya Bijli Se Kam Hai Chodho Mat Chhedo Baazar Jaao, Jaata Hoon Jaoonga, Pehle Yahan Aao Shaam Jawaan Hai, Tu Kahan Hai... Kaisi Pyaari Hai Yeh Chhotisi Rasoi, Hum Dono Hain Bas Dooja Nahin Koi Is Kamre Mein Hongi Meethi Baaten, Us Kamre Mein Guzrengi Raaten Yeh To Bolo Hogi Kahan Pe Ladaai, Maine Woh Jagah Hi Nahin Banai Pyar Yahan Hai, Tu Kahan Hai...
Gaadi Bulaa Rahi Hai Gaadi Bulaa Rahi Hai, Seeti Bajaa Rahi Hai Chalna Hi Zindagi Hai, Chalti Hi Ja Rahi Hai Dekho Vo Rail, Bachchon Ka Khel, Seekho Sabak Jawaanon Sar Pe Hai Bojh, Seene Mein Aag, Lab Par Dhuaan Hai Jaano Phir Bhi Ye Ja Rahi Hai, Nagmein Suna Rahi Hai Aage Toofan, Peechhe Barsaat, Oopar Gagan Mein Bijli Soche Na Baat, Din Ho Ke Raat, Signal Hua Ke Nikli Dekho Vo Aa Rahi Hai, Dekho Vo Ja Rahi Hai Aate Hain Log, Jaate Hain Log, Paani Mein Jaise Rele Jaane Ke Baad, Aate Hain Yaad, Guzre Hue Vo Mele Yaadein Bana Rahi Hai, Yaaden Mita Rahi Hai Gaadi Ko Dekh, Kaisi Hai Nek, Achchha Bura Na Dekhe Sab Hain Savaar, Dushman Ke Yaar, Sabko Chali Ye Leke Jeena Sikha Rahi Hai, Marna Sikha Rahi Hai Gaadi Ka Naam, Na Kar Badnaam, Patari Pe Rakh Ke Sar Ko Himmat Na Haar, Kar Intezaar, Aa Laut Jaaen Ghar Ko Ye Raat Ja Rahi Hai, Vo Subah Aa Rahi Hai Sun Ye Paigham, Ye Hai Sangraam, Jeevan Nahin Hai Sapna Dariyaa Ko Faand, Parvat Ko Cheer, Kaam Hai Ye Uska Apna Neenden Udaa Rahi Hai, Jaago Jagaa Rahi Hai
Karoge Yaad To Karoge Yaad To Har Baat Yaad Aayegi Guzarte Waqt Ki Har Mauj Thehar Jayegi Yeh Chand Beete Zamanon Ka Aaina Hoga Bhatakti Abra Mein Chehra Koi Bana Hoga Udaas Raah Koi Dastaan Sunayegi Karoge Yaad To... Barasta Bheegta Mausam Dhuan - Dhuan Hoga Pighalti Shammon Pe Dil Ka Mere Guma Hoga Hatheliyon Ki Heena Yaad Kuchh Dilayegi Karoge Yaad To... Gali Ke Modh Pe Soona Sa Koi Darwaaza Tarasti Aankhon Se Rasta Kisika Dekhega Nigaah Door Talak Jaake Laut Aayegi Karoge Yaad To...