Ek Shaadi Shuda Ki Daastan

  • July 2020
  • PDF

This document was uploaded by user and they confirmed that they have the permission to share it. If you are author or own the copyright of this book, please report to us by using this DMCA report form. Report DMCA


Overview

Download & View Ek Shaadi Shuda Ki Daastan as PDF for free.

More details

  • Words: 242
  • Pages: 2
Ek Shaadi Shuda Ki Daastan

Abhi shaadi ka pehla hi saal tha, Khushi ke maare mera bura haal tha, Khushiyaan kuchh yun umad rahin thi, Ki sambhale nahi sambhal rahi thi.. Subah subah madam ka chai le kar aana Thoda sharmate huye humein neend se jagana, Wo pyaar bhara hath hamare baalon mein phirana, Muskurate huye kehna ki.. Darling chai to pi lo, Jaldi se ready ho jao, Aap ko office bhi hai jaana. Gharwali meherban ka roop le kar aayee thi, Dil aur dimag par poori tarah chhayee thi, Saans bhi lete they to naam usee ka hota tha, Ik pal bhi door jeena dushwar hota tha.. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 5 saal baad........ Subah subah madam ka chai le kar aana, Table par rakh kar zor se chillana, Aaj office jao to munna ko School chodte hue jana........ ...... Suno ek baar phir wohi awaaj aayi, Kya baat hai abhi tak chhodi nahi charpayee, Agar munna late ho gaya to dekh lena, Munna ki teachers ko phir khud hi sambhaal lena.. Na jane gharwali kaisa roop le kar aayi thi, Dil aur dimaag par kaali ghata chhayee thi,

Saans bhi lete hain to unhi ka khayal hota hai, Ab har Lamhay zehan mein ek hi sawal hota hai.. Kya kabhi woh din laut ke aayenge, Hum ek baar phir kunwaare ban paayenge

Related Documents