Dhadkana Band Kar Dunga

  • Uploaded by: Suraj Bhati
  • 0
  • 0
  • May 2020
  • PDF

This document was uploaded by user and they confirmed that they have the permission to share it. If you are author or own the copyright of this book, please report to us by using this DMCA report form. Report DMCA


Overview

Download & View Dhadkana Band Kar Dunga as PDF for free.

More details

  • Words: 494
  • Pages: 3
“Dhadkana Band Kar Dunga” Saara din jab wo mere chehre ke samne rahe, Aur sham ko achanak jab yu gayab ho gaye, To mera dil nahi lagta, bhukh bhi nahi lagti, Nind bhi nahi aati, dil ne kaha – zara unke Didar karwa de, mene kaha – aadhi raat ho rahi hai, subah karwa dunga, abhi tu soja, dil ne kaha – kal didar nahi karwaye to ”Me Dhadkana band kar dunga”....... Jab me agle din college pahucha to pata Chala ki wo aaj college nahi aaye hain, Dil ne kaha – didar karwa dena warna ”Me Dhadkana band kar dunga”....... Mene apne dil ki baat mani aur fir Mein college ki classes bunk marke, unke Gaon pahucha, to pata chala ki unke ghar ka Pta to mallom hi nahi tha, Dil ne kaha – phone se puch le warna ”Me Dhadkana band kar dunga”....... Mene jaise hi phone lagaya to awaj aayi“Aapne jis RELIANCE customer ko call kiya hai, unka mobile abhi switch-off hai, kripya thodi der baad call kijiye”, par dil kaha rukne wala tha, usne to ek aur baar dhamki de hi daali, didar karwa de – warna ”Me Dhadkana band kar dunga”....... Fir achanak ek chamatkar ho gaya, Mano samne se wo aa rahe ho, itne me Dil bola, mano nahi, sachmuch hi wo aa rahe hai, Fir dil ki dhadkane tej ho gayi, aur tej ho gayi, Aur wo paas me aa gaye aur kaha – “arre! Tum yaha kya kar rahe ho?”, Mene kaha – ”tumse milne aaya hu”,

Wo bole – ”to phir ghar kyo nahi aaye?”, Mene kaha – “ghar ka pta nahi tha...”, Fir dil ne kaha bol de warna, ”Me Dhadkana band kar dunga”....... Mene dil se pucha – ”bolna kya hai?” To usne vyang marte hue kaha – ”Happy Birthday to you…” Fir mene dil ki vahi baat keh di aur Sayong ki baat to yeh hui ki aaj Sachmuch hi unka Birthday tha, Fir unhone kaha “Thankyou” Aur Mene kaha – “welcome…”, Fir humne samne wale restaurant me Bethkar coffee pee, aur mere bahut Mana karne par bhi bill usi ne diya, Fir dil ne kaha – ”yeh samay yahi Ruk jaye to kitna acha ho, me bus Uske sundar chehre ko niharta hi rahu, Uske gulab se hothon ko dekhta hi rahu, Uske itne sachhe dil se batlata hi rahu, Aur sabse achi baat ki me tuje kabhi Ye dhamki nahi dunga ki ”Me Dhadkana band kar dunga”....... Par samay kaha rukne wala tha, Fir alvida kehne ka samay aa hi gaya, parantu fir dil ne kaha – ”kabhi alvida na kehna” varna ”Me Dhadkana band kar dunga”....... Fir me ghar aa gaya........ Mene dil se kaha – “aaj ke baad Dil mat lagana, teri ye diwangi Muje ek din le dubegi”, fir dil kaha Manne wala tha, wo bola – ”jyada Nasiyat mat de” varna ”Me Dhadkana band kar dunga”....... ”Me Dhadkana band kar dunga”....... ”Me Dhadkana band kar dunga”.......

Related Documents


More Documents from ""