dard-e-dil dard-e-jigar dil mein jagaya aapne pehle to maein shaayar tha aashiq banaya aapne aapki madhosh nazrein kar rahi hain shaayari yeh ghazal meri nahin yeh ghazal hai aapki maine to bas woh likha jo kuchh likhaaya aapne dard-e-dil dard-e-jigar dil mein jagaya aapne... kab kahan sab kho gayi jitni bhi thi parchhaiyaan uth gayi yaaron ki mehfil ho gayi tanhaiyaan kya hua shayad koi parda giraaya aapne dard-e-dil dard-e-jigar dil mein jagaya aapne... aur thodi der mein bas hum judaa ho jayenge aapko dhoondunga kaise raaste kho jayenge naam tak bhi to nahin apna bataaya aapne dard-e-dil dard-e-jigar dil mein jagaya aapne