bhale dinoN ki baat hai bhali si aik shakl thi na ye ki husn-e-taam ho na dekhne mein 'Aam si na ye ki woh chale to kahkashaaN si rahguzar lage magar woh saath ho to phir bhala bhala safar lage koi bhi rut ho us ki chchab fiza ka rang-o-roop thi woh garmiyoN ki chchaaoN thi woh sardiyoN ki dhoop thi na muddatoN judaa rahe na saath subh-o-shaam ho na rishta-e-wafa pe zid na ye ki izn-e-'Aam ho na aisi Khush libasiyaaN ki saadgi gila kare na itni be takallufi ki aaina haya kare na iKhtilaat mein woh ram ki bad-mazah hoN KhwahisheN na is qadar supurdigi ki zach kareN nawazisheN na aashiqi junoon ki ki zindagi 'azaab ho na is qadar kaThor pan ki dosti Kharaab ho kabhi to baat bhi Khafi kabhi sukoot bhi suKhan kabhi to kasht-e-z'AfraaN kabhi udaasiyoN ka ban
suna hai aik 'Umr hai mu'Amilaat-e-dil ki bhi visaal-e-jaaNfiza to kya firaaq-e-jaaNgusal ki bhi so aik roz kya hua wafa pe bahas chchiD gayi maiN ishq ko amar kahooN woh meri zid se chiDh gayi maiN ishq ka aseer tha woh ishq ko qafas kahe ki umr bhar ke saath ko woh bad-taraz-hawas kahe "shajar hijr nahin ki ham hamesh pa ba gul raheN na Dhor haiN ki rassiyaaN gale main mustaqil rahaiN mohabbatoN ki vus'AtaiN hamare dst-o-pa meiN haiN bas aik dar se nisbateiN sagaan-e-bawafa meiN haiN maiN koi painting nahiN ki aik frame meiN rahooN wahi jo man ka meet ho usi ke praim meiN rahooN tumhari soch jo bhi ho maiN is mizaaj ki nahiN mujhe wafa se bair hai ye baat aaj ki nahiN" na us ko mujh pe maan tha na mujh ko us pe za'Am hi jo 'ahad hi koi na hoi
to kya gham-e-shakistagi so apna apna raasta hansi Khushi badal diya woh apni raah chal paDi main apni raah chal diya bhali si aik shakl thi bhali si us ki doosti ab us ki yaad raat din nahin, magar "kabhi kabhi"