3 and a half minutes of my life………. Dedicated to CE-2009 batch.. Time comes and time goes, it’s only we who r left all alone. So many things happened, some good or some bad but only the memories are left that really make me go mad. On 16-aug-05, I entered into the class for the first time with nervousness somewhere deep in my heart wondering what kind of environment I m headed into, but what all I found was totally beyond my expectation. It’s difficult to jot down everything I came across but this is just a try to make you all know what this CE-09 batch means to me….. Yaad h wo kahaniyan, wo class ki masti aur exams ki pareshaniyan, Wo saath jab shuru hua to anjaana sa lagta tha, Par najane kaise ek karwaan sa banta gaya…… Har kisi ne yahan sath h nibhaya, khushi ho ya gum mil baant k h manaya, 1st yr ka wo ragging ka daur, darr lagta tha sochke kitne din yahan bitane padenge aur, Ladkon ki hui tab class me khoob khinchayi, Aur ladkiyon ne kit me apni khoob hansi udwayi, Wo class me hamesha late jana, aur bachne k liye naye naye bahane lagaana, Jahan first yr ki PDP class ka time aate hi ladkon hi khushi ka thikaana na rehna aur wahin maths aur physics ki class me neend poori karna, Assignment hamesha submission date nikalne k baad banana, Aur shagun, smiley ki assignments ki photocopies niklwana. Meha n’ himanika ka hamesha classes lagana aur class ki ek row ko mohalla mohobbat wala bulana, DD’s ka aawishkaar hona aur monika ka unme wild card entry lena, Ravinder ka hamesha class me silent rehne aur watte ka bas har time “koi chakkar koni ” bolna,
Yadav ka class se gayab rehna, Sharad ka wo ajeeb si drawings banana aur najane kaise wo 1st prize lana,
Khurana, preeti aur seema ka first bench pe haqq jamaana, aur khurana ka bindaas comments maarna, Veni ka class me kabhi kabhi darshan dena pr jab bhi aana mast tayaar hoke aana, Nidhi ka hostel mein sabko padhaana, aur class me monika ko sabki teacher bulana, Saroha, poonam aur sapna ka apne mein hi hamesha mast rehna aur jyoti bansal ka wo class me zor zor se hansna, Udit ka har baar naye hairstyles try karna aur C ki class me sabse attentive rehna, Dhawan ka class me “with ease” copy paste karna, aur pansari ka har baar class me top karne ka challenge lena, aur wahin shagun ka bina doubts pooche teacher ko class se jaane na dena, LT-13 me wo unlimited mati karna, seminars se hamesha door bhaagna, sessionals me pen down karne wo himaat dikhana. Is college me sabne har lamha jeeya h, kisi ne voyegers, kisi ne TCS, kisi ne mavericks to kisi ne orators ko nayi disha dene ka poora prayaas kiya h, Bohot si hain aisi baatein jo likhte likhte hayad ye hath kabhi na thamenge, haan par koi bhi kaisa bhi waqt ho hum apne teachers ko kabhi na bhulenge, Har mod pe unhone h sambhala, chahe ho placements ka wo mushkil waqt ya ho hamari galtiyon par hamein sabse bachaana aur samjhaana. Aise hi hanste khelte, khushiyan manate, dukh baantte najane kab diaries bharne ka wo daur shuru ho gaya aur college se jaane
se pehle hi ek doosre se door hone ka dukh sabko pareshan karne laga, Dekhte hi dekhte ajnabee se sab chehre itne ache dost bann gaye aur kab wo 3 n’ ½ saal, 3 n ½ minutes k barabar lagne lagey, Apne in doston ko aaj bas yahi kehna chahti hun: When I look back in time, searching for the happy moments you all have given, I could fine the utmost happiness and for a moment smile des comes on my face but then my heart aches and fills my eyes with tears, thinking how these years passed like a flash. So for me these 3 n’ ½ minutes will never come back but yes these sweet memories will remain in my heart for ever and ever and ever……