Suraj ko rook lo Nasi Ghazlain Oct.1991
Az: Maqsood Hasni
Jama ‘bandi: Dr. Mohammad Abdullah Qazi
Maqsood Hasni ki nasri ghazaloon ko parh kar mehsus hota hai kah en tamam ghazaloon kay apnay apnay daeray aur paikar hain aur sabhi na'seraf haal balkah gozashta lakhoon bars ko apnay andar samaitay howay hain. Yoon lagta hai kah eak malamti darvaish shair kisi baray shehar kay chook main khara aur ba'aawaz-eboland logoon ko apni taraf motvajo kara raha hai aur takhleeq-e-kaenat ko mozo bana kar apni kahani shoro kar daita hai. Kafi saray rah'geer akathay ho jatay hain balkah eak doo bar to taraifak aur sarak balak hotay hotay reh jati hai. Maqsood Hasni kabhi dil ka kaha man lay to ghar ka rasta bhool jata hai. Kabi suraj ko zamana'sazi ka daras daita hai. Kabi 7 faraounoon kay moqablay main Mosa ko la khara karta hai. Kabi kofay kay bazaroon main oon logoon ki aqal par matam karta hai jo aksariat ko daleel-e-haq banatay hain. Kabhi sitaroon ko talqeen karta hai kah mairi qabr par charaghaan na karo. Kabhi hobal kay faladi bazuoon
kay moqabil simaab pehhan kar maqtal main otarta haai. Kabhi bijli kay jhatkoon ko shakast dainay kay liay dastanay pehan laita hai. Kabhi kehta hai Ababiloon kay par kaat kar hosn ki raksha kaisay ho gi. Kabhi jaili shanakhti kard banwanay aur bananay waloon ko bai'naqab karta hai. Kabhi na'humwar aur un'daikhay rastoon say Khizr ka kaam laita hai. kabhi Bush ko amaam banta daikh kar gharoon say roshni kay janazay othtay daikhta hai. Kabhi kehta hai kah marnay waloon ki siskiaan sonay nahain daitein. Kabhi suraj ko shehar-e-eshq main janay say rokta hai. Kabhi shoor zamein main golab bo kar khushbu ki tamanna karnay waloon ko ahmaq qarar daita hai. Kabhi ogli hoe ghaza khanay waloon par nazar parti hai to bai'sakhta pokarta hai kah aakhir enhain kiya ho giya hai. Ab aap hi es sarsari nazar say andaza lagaein kah Maqsood Hasni ki nasri ghazlain mozu kay etbar say kitni achoti hain. Lehjay ki kaat aur tanz ki gehrae ka miyar kaisa hai. Qari kiya mehsus karta hai. Estaray aur alamtain kitnay khobsurat andaz main aae hain. Mostaqbal main itni fusat kisay ho gi kah farsoda taweel ghazloon aur nazmoon ko parhay. Agli sadi to Maqsood Hasni jaisay mukhtasaran aur pur'asar shoara ki sadi hai. Baqool-e-Ghalib Sadiq hoon apnay qool ka Ghalib Khuda gowah Kehta hoon sach kah jhoot ki adat nahain mujhy Dr. Alama Baidil Haidri
Janab Maqsood Hasni eak ba'kamal shair hain onhanoon nay apni nazmoon main zindagi kay tajarbaat ko makhsus jazbaat-o-ehsasaat aur fikar-o-shaoor ki hum'aahangi kay sath biyan kiya hai. Oon kay kalaam main yak'rangi aur yaksaniat nahain hai. Oon ki shaeri kay ozan-o-aahang main oon kay mazaaj aur oftad-e-taba kay asraat hain. Onhoon nay apni shaeri main moashray ki tasveer’kari aur paikar tarashi ki hai. Hamara mojoda samaj aur nazam-e-hayaat jis shakast-o-raikht say dochar hai Maqsood Hasni ki shaeri main es ki akasi nazar aati hai. Yahhi waja hai kah woh apnay ashar say rokh-e-hayaat ki naqab koshae kartay hain. Oon ki shaeri ki sab say bari khobi yah hai kah oon kay haan ehsas-e-dard'mandi hai. Woh jazbay aur ehsas ki tarjamani kartay hain. Onhoon nay dakhli aur kharji kafiat ki aamaizash say apni shaeri ki amarat tameer ki hai. Dr. Waqar Ahamd Rizvi
Maqsood Hasni Sahib ki shaeri parh kar andaza hota hai kah yah moashray kay masael aur insan kay dukhoon ko mehsus kartay hain aur phir os ka izhar apnay ashar main adbi nazaktoon aur jamalyati khobioon kay sath bhar'poor andaz main kartay hain. Aisa hi adab, mein samjhta hoon logoon main shaoor paida kar sakta hai. Dr. Mobarik Ali
Maqsood Hasni Sahib Kay majmoa-e-kalam "Suraj Ko Rook Lo" ka mein nay josta josta motala kiya hai. Oon ki shaeri ehad-e-hazar kay hisaes aur ba'shaoor takhleeq'kar ki shaeri hai. Zaat mahool aur kaenat ki masalas oon kay fikri aur takhliqi rovaeoon ki asas hai. Woh zindagi kay masael ko dil ki dharkanoon main mehsus karnay aur dil ki dharkanoon ko zindagi ki bonyadi qadrain bananay ka fun jantay hain. Nadar tashbioon, esta'aroon aur alamatoon nay oon ki shaeri ko tazgi aur tawanae ata ki hai. Oon ki shaeri bila'shoba ehad-e-hazar ki eak sehat'mand aawaz hai. Dr. Gohar Noshahi
(1) Sach say tomhain qata ta'alaq karna ho ga Es ka zoban par aana Soraj ka sawa naizay par aana hai Intakhabi postar parh kar yoon laga Shaihar main kae paighambar otar aa'ay hain Hojray main baith kar rah-e-eshq main Mar mitnay ki baat to karta hai wa'az Bara moshkil hai talwar ki dhar par aana Mosa ka kiya kamal, paighambri sath thi Ek hum hain na paighambri hai na asa mila hai Bach kar kahaan jata baat kayoon barhti Agar maira bhi koe giriban hota Jala kar jali rehti to afsus na hota Khud bhi na rahi sahar honay tak Mein Farhad nahin jo khud'koshi kar loon ga Mohabat aur hisab, Doo mazmoon rahay hain mairi nazar main
(2) Zindagi mango day doon ga Anna ki shakast mujhy manzoor nahain Rindoon nay sukh ka sans liya Jab say tumhara ajara nahain raha sharab par Mairay mohsan nay yah hukam lagaya hai Es ka hosh main aana thek nahain Meh'khanay par apna haq jata'ay ga Jin makanoon kay darwazay band rehtay hain Roshan'dan wahan hawaoon ka asra hotay hain Aa jao ab to bam par Wo raat adhori hoti hai Chand jis raat nahain hota Hosn bin khoshbu kis kaam ki Chah main thora dudh mila dia hota
(3) Woh jin aankhoon main bas ga'ay Wo aankhain salamat rahein, Mein kaisay yaqeen kar loon Mohabat ka ehtaram karo Magar kisi kay qareeb'tar na raho Mun main zihar liay phirtay hain log Itni bhari dhandli aur kahan ho gi?! Kisi ka mar mitna sar'kashi, Mita daina jahan ada tehra Dar par paray diwanoon ki qadr karo Kiya karo gay , Hussain aa giya agar koe aur Ab apni ravash ko badlo Roshni koon khariday ga tumhari Roshni kay agar khareed'dar na rahay
(4)
Aankhoon main haan zoban par nahain nahain Dil ki baat kisay samjhoon?! Faislay ki saleeb par yoon na latka mujhy Sajda main jo gir ga'ay koon janta hai oon ko Mein bhi agar sajda main gir jata Tairi kawashoon main monfarid hota kaisay??? Jis baat main koe baat hoti hai Yahaan wohi baat bori baat hoti hai Dil tortay nahain mairay shaihar kay fatwa'gar Raqeeb to kafir tha hi Musalman bhi to musalman nahain raha Chal oth yahaan kiya rakha hai Wada-e-farda nahain hota Jin tiloon main tail hota hai
(5) Makhlooq ka woh kab Khuda raha hai Yahaan to hakomat kar raha hai koe aur Bhook sehna aa giya hai naind nahain aati
Sochta hoon, Khuda to nahain ho giya kahein Sharab main wo lutaf kahaan tha Jo lutaf aansu pinay main aaya Aqal ko kiya maloom mein kiya hoon Janoon mujhy mairi zaat tak lay aaya Yah bhi day doo kayoon bacha rakhi hai Mujhy jana nahain wa,az ki dunya main Mairay eshq ko paimanoon par na rakho Intahaoon ko koe naap saka hai?!
(6) Marnay waloon par rona kar day band Martay ko bacha Jawab aa'ay ga, mat soch oth, agla khat likh Mat baith, qaafla aa'ay ga kal
Tu aaj hi chal Maqtal say aanay waloon ki kiya piyas bhoja'ay ga saat somandar, jal Auroon ko choor waqt ka kehna hai Apni keh, apni kar Esa masloob howa ho ga Tu bhi to latka howa hai Os ki mohabat ek hamaqat Os kay hath main khisht Zira pehan,hath main pathar rakh Na ro chop ho ja Os ka sina to pathar
(7) Jin rastoon par chal kar aaya tha Wo rastay darya ki nazr howay Aur rasta mairay ghar ko jata nahain Kitnay zabt ki baat hai Darya qadmoon main behta hai Piyas bhi hai, piya yaad nahain Choor aaein gay to kiya lay jaein gay?
Aanay wala aa'ay ga, oth darwaza khool Jin aankhoon main dam kham ho ga Daikh lain gay kan son lain gay Tairgi kay dar par sholoon ki dastak Waqt say pehlay suraj ki tamana na kar Andhairoon main daikhna sikh Ya phir apna suraj nikal
(8) Kis omeed par sachae paish karoon Bhook barh gae ho to Bhair ka bacha sacha nahain hota Os ki dawat-e-khas ka shukarreya Magar aur bhi hain hamam main Tairi taskein main mira eman jata hai Raat ko subh kehna, Dastoor ho jis adalat ka Wahaan jawab kab aata hai kisi dastak ka
Jis karwaan ka ho woh ameer Wahaan latairay lainay aaein gay kiya Faresht-e-Ajal ko bhi sakon mil sakay ga Her aankh main na bas Kisi eak ka ho ja Towaef taras jati hai ghar kay liay Raat ko subh keh kar zindagi milay Koon kehta hai wo zindagi, zindagi hai
(9) Jahaan hosinoon ki hakomat ho wahaan jan-o-khudi eak sat rahain Mein nahain manta, yah ho nahain sakta Miray dil main tiray siwa koe nahain Magar tumhain apna nahain sakta Miray kandhoon par bojh hai behan ki doli ka Bahaar ki rotoon ko hum apna samjh baitay thay Raqeeb ka aangan bhi bhar giya tha Kaloon say golaboon say Zulm par agar yoonhi kamar'basta rehna hai Hath kaat doo mazlomoon ka
Kahein oth na jaein Khuda ki bargah main Miri barbadi faqt sitaroon ka khail nahain Kuch Qasoor miray etamad ka bhi hai Dastaar chin janay ka gham na kar Yah dastaar di hoe ossi k thi
(10) Pehlay hi woh kab kuch kam tha Botal toti to aur bhi ghazab'nak howa Os say bachnay ka koe aur tariqa soch Aza mozmahal honay ka gham kayoon karain Subh ko raat hona hi tha aakhir Jin aankhoon say barha pi chokay hain Oon aankhoon main nasha nahain raha Shaed musalman ho giya hai Saqi Jhoot ko jhoot manwana ho agar Jhoot ko sach kehtay raho masalsal Mahboob oltay paoon chalnay lagay hain Mairay qatl par motasaf na ho Qatal karna kab jurm raha hai
Koe moaziz jabein dagh-e-qatl say bai'aieb nahain
(11) Jo tum say milein wo salamat rahein Wo aankhain pathar ki thein Phool bohat nazuk hotay hain Ai bolbal-e-khush goftar oon par reham kar Eshq zabardasti ka koe kaam nahain Oon somondar aankhoon main doob janay ki baat na kar Zindagi to atya-e-Khuda'wandi hai Mangay say milta nahain kae bar Lafz aazad hotay hain En ka qafiya tang na kar Ghazal koe moflis ki qabar nahain Jin lafzoon say lahu ki khushbu aa'ay Oon lafzoon ko shaeri mantay hain log Magar shaeroon main lahu kab hota hai
(12) Yah kaisi raat aae hai Aankhoon main naind nahain dil main shoor macha hai Andhaira nahain to ojala kahaan hai?! Insani ghosht agar qasaab baichta hai To koon si qiyamat hai Woh bhi to mujhy kha'ay ja raha hai aahista aahista Os ki mohabat main sab kuch har diya Woh to bashinda tha chand sitaroon ka Agar mairi jabein main sajday hotay Raqeeb kayoon midan mar giya hota Yahhi kuch hai es kay siwa kuch nahain chand sitaray mairi dastaras main nahain hain Mohabat main sach kehna aur sach sonna sikho
(13) Bahar roshni bikhar gae thi Makaan ka moqein doob raha tha Anna ki tariki main Zulfoon main sitaray jarnay wala Sitaroon kay bhaid kab janta tha Shab-e-hijr woh itna roay Ansoon main beh gae Tasveer mairi Khamoshi daleel nahain man janay ki Os ki aankhoon main jhank daikho Aankh kay sahil par aa giya hai Dil ka ghobar sara Andhairoon say ghabra kar Bacha pochta raha mujh say Abbu subh kab ho gi Jis aankh main nami obhar rahi thi Ai ashk'shanas! bata, Os aankh main kiya kami thi
(14) Orat ko hijra shaiar ko nasar kehna yah baat nahain koe aqal ki Umr gozar di gher ban kar Ab aa giya hai fatiya kehnay ko Marnay walay taira shukarreya Zindagi ka ehsas tha kab mujh ko Waqt naam nahain subh-o-shaam ka koe khail nahain shaam say sahar karna Arozio! ab tumhari khair nahain lagti Ehsas ki aankhoon main lahu hai Paband-e-arooz baat hai baikar si
(15) Apnay hosn par kayoon na woh naz karain Molvi bhi oon kay ashqoon main hai Kabhi aa'ay nahain wada nibhanay miray ghar Go jhoot say onhain sakht nafrat hai Sham say pehlay agar shaam ka goman gozray Darwazay kholay rakhna sakht hamaqat hai Kanch ki sarak par tum chalnay niklay ho Ehtayat ka taaza yahhi hai Mun ka sara bojh halka kar lo Aas ki kashti doob rahi hai Bora waqt aur kaisa hota hai?! Gothli ab na rakh sambhal
(16) Paoon katay chal rahay hoon jis karwwn kay sath Mujhy chalna nahain os karwaan kay sath Waqt ki bahoon main abhi zindagi hai Rehnay doo Ghari abhi miray hath par Miray sar ki dastaar lay kar to ja rahay ho Es shaihar kay log bojh otha sakain gay mairi dastaar ka?! Mohlat-e-parwaz mil bhi gae to kiya hasil Taiz hawaein kab ornay dain gi parinday ko Jo kandhay otha na saktay hoon apnay sar ka bojh Oon kandhoon par tu nay rakh diya hai Saray ghar ka bojh Woh ek qatra hai tum somondar ho Yah tumhain kis nay keh diya hai, Her Bil main hath dala nahain kartay
(17) Aankh yoonhi kab chalakti hai Raat kay os kinaray par Rehta hai mairay armanoon ka qatil Ta'alaq shart hai Jo door hota hai Kab door hota hai Ab zaat kay khool say niklo jism kab sath hota hai Khush'bu kay safar main Aankh na kholay jis mosam main Tu hota hai os mosam main Sharaab main zehar milanay ka takalaf na kar Hum to zindagi say bohat door baithay hain Abhi band na kar meh'khnay ka darwaza Abhi khola nahain Kaba-o-Kalisa ka darwaza
(18) Mein kisi wafa jafa ko manta nahain Hilay hain kisi ko mitanay kay liay Taras kha kar ab mairi jholi na bharna Bhook to jinay ka aasra hai Yaqeen dolat sahi, mein nahain karta Esa kay hawari kab dar tak aa'ay thay Jin aankhoon ko somondar tum kehtay ho Oon aankhoon ka pani mar giya hai pilanay ka agar yahhi taira andaz raha Mairi bari shaed subh tak aa'ay Jin zarroon main roshni ho gi Wohhi zindagi ki mang sajaein gay Mein nahain sonta, kisi aur ko ja kar sona Choor yah behar-o-radeef kay qissay poranay
(19) Yah tairay eshq ka hi kamal hai Moqadar samjh liya hai mein nay Jo aankh bhata nahain dil ko pasand nahain Apnay ashkoon main bhago diya mein nay Es shaihar ki subh bai'noor ko Shabnam samjh kar log nangay niklay Miray her khaab main tu hota hai Magar zindagi main maira nahain ho ga Olti hoti hai her khaab ki tabeer Mujh say kuch karnay ki towaqo na rakh "Karna" zindagi say mansoob hota hai Khoof ki fasl bu kar Ahal-e-shaihar say sonay ki towaqo Damagh ka khalal lagta hai
(20) Othta nahain os ka sar Jis pait main otar ja'ay Gher ki kamae ka to'am Qatil dard ki kasak say aashna nahain Wohhi mohtaram tehray ga Jo khanjar ki dhar say os ko gozaray ga Agar khusb'bu bant daita Golshan main hi dafan hota Shalaktay sagar salamat nahain rehtay Ulfat nahain, na sahi Nafrat hi karo mujh say Tujh say ek ta'alaq ka haq'dar hoon mein Par katnay ki bhala kiya zarorat hai Qafas main lay aa'ay gi Paoon ki jhanjar os ko
(21) Hosn kisy motasar nahain karta Phir bhi ehtayat achi hai Golab main chopa hota hai sanp aksar Eshq main----, Jan dainay ki baat na kar Zindagi mout tairay hath main kab hai Farda ki baat na kar Maira moqadar aaj hi Mairi jholi main dal day Agar zulm taira maslak hai Chop ki talqein na kar Bolna maira maslak hai, bolnay day Kitnay roop aur dharo gay Mein tumhain janta hoon Otha doo ab naqaab cehray say
(22) Haq goe ki fasl bu kar Pathar tikay miray hath aa'ay Kisi ki bai'kasi ko log Sarkashi ka naam daitay hain Mein nay jis shakas ki khatir Dasht-e-tanhae main umr gozar di Woh mira hi sar katnay ki fikr main tha Mein nay zinjeer-e-adal halae to Alhaad ka ta'ana her zoban par tha Mango to bhook moqadar banti hai Chein lainay waloon ko Suraj salam kehnay ko, Aangan main otar aata hai Jab hath par hat dharay baitha raha Mairay dushmanoon nay Apnoon ki saf main la khara kiya mujhy Tum kehtay ho taraqi hoe hai Mein kehta hoon, Zist ki her kal olta chalnay lagi hai
(23) Aankhain dikha kar na apna matlab nikal Anna ka qatl log gowara nahain kartay Tujh say mohabat karkay yoon mehsus howa Kiroon bhara amrood kha giya hoon mein Tairay karam ki haad ka kiya shamar karoon Mujhy ghar ki zarorat say mobarra kar diya tu nay Tairay ghulam malik-e-sharaq-o-gharab hotay hain Es aaghi nay bhair* kar diya shairoon ko Yoon baikar na samjho Ek jahaan aabad hota hai Palkoon kay sitaroon main Bohat banta tha woh apnay aap main Jaieb main dal kar lay giya ossay ek shaks
-----------------------------*sheep
(24) Oon ka ta'alaq bi ajeeb tara ka hai Oon kay her sitam main nae ada hoti hai
Os ki bai'basi ko mojza na kaho Mairay lahu say bhara tha jaam os nay Zindaan say kuch aisa manoos howa tha Sochta hoon aazad fazaein, Nuoch na lain kahein bal-o-par miray Jin qatroon ko bai'waqar samjha tha mein Wohi qatray sehra kar gay darya ko Apna qatl moaf to kar doon likin Kaloon ka khoon os par rawa ho ja'ay ga Apni mohabat ka yaqeen dalanay kay liay Apna charawa bana diya os nay Go mein bhi os ki mohabat ka davai'dar
(25) Shaihar kay sab charagh bujh gay Jao hawaoon say keh doo Ek dil jal raha hai abhi sar-e-bazaar Sehat ki jo dua day raha hai Shak nahain os kay khaloos par
Woh kiya janay, kiya day raha hai mujhy Os kay khanjar main janay kiya baat thi Dar-e-zest par dastak daina pari mujh ko Urmr bhar mira aashyana jalaya Aaj mein nay khud aashyana jala diya hai Bijlioon ko jalanay kay liay Dostoon par maira shikwa fazool tha Woh to day rahay thay Mairay khaloos ki saza mujhy
(26) Daras-e-Aazadi daita phirta hai jo nagar nagar Kaat daita hai par Jo parinda khala par haq jatata dikhae day Panap sakti nahain wo mohabat, Aaqa-o-Ghulam ka khail jo dikhae day Dua-o-baad'dua kay bich,
Monh kholay kharay hain, apnay aur gher bhi Oon ka jina mosibat, marna aafat dikhae day Jina aasan nahain Karam main bhi jab makar-o-faraib dikhae day Andar say khali hota hai wo makan Jo bahar say taj mahal dikhae day Bhignay say kayoon dartay ho?! Barsata nahain wo badil Jo her pal garjta dikhae day
(27) Jana mujhy ho rasta Hazrat Khizr bataein Es say bhar kar tohein-e-manzal kiya ho gi Jao na apna waqt barbad na karo Jahan jinay ka azam baqi ho Masiha ki wahan zarorat nahain hoti Khizr say rah-o-rasm barhaein kis liay Khuda janay kahaan lay ja'ay Aadmi woh aglay door ka tha
Mahboob kay esharay par Jan day daina shart-e-mohabat hai to Majnoon ko aisi mohabat mobarik rahay Raqeeb to moft main baad'naam hai Jo jaieb bhari ho notoon say Mahboob os jaieb main basaira kartay hain
(28) Jo qadam meh'qaday say bahar hota hai Wohi qadam to maira apna hota hai Jab bhi tairi mohabat ka goman gozra hai Mein kab hota hoon tu hi wahaan hota hai Meh ki zarorat onhain hoti hai Jinhain apnay honay ka gomaan hota hai Jis ki hadain hoon wo eshq nahain hota Eshq adraak ki hadoon say siwa hota hai Eshq ka bhala kiya ta'alq dil say Dil to eak lothara bai'zobaan hota hai
(29) Aasman ko apnay qehar-o-sitm par naz tha Ossay khanjar chalata daikh kar Sharam say pani pani ho giya Qabilay ko lay ja chokay hain Ab tu bhi ja Tumhari jodae ka zakhm Ehsas-e-tanhae nahain honay day ga Ji sakoon ga---------?! Koon keh sakta tha Chalna para to rastay Khizr thay mairay liay Yah to bata koe paimana bhi hai tiray paas Mujh ko etraz nahain Lay lay mairi chahtoon ka hisaab
Mein hoon, mujhy maloom na tha Tira dasna raas aa raha hai aahista aahista Khidmat kaho, Saiyad ki meharbani Matlab say khali nahain hoti
(30) Aasman par viraniaan daikh kar Os ka aanchal bohat yaad aaya mujh ko Baadlo! Suraj say door raho Mein phigla nahain saka os ka dil Oon baraf aankhoon main, Suraj na otaro Zamein ab tofan-e-Noh ki mothamal nahain ho sakti Apnay eshq par tumhain naz sahi Magar os say door raho Tum Maqsood ho, Braheen nahain Apni shanakht ka khayaal aaya to Pehla jhoot aaena bool raha tha
(31) Ashaq ki aql par afsoos na kar Mahboob ki bai'wafe mein bhi Wafa os ko nazar aati hai Sat Faraonoon kay moqabil Ab kab koe Mosa khara hai Her su sapaidi bikhar gae ho to Rozay say koe kab rehta hai Sehra main bakhair doo jali hadoon ko Mahboob ki rakh bhi, Ab oon ko gowara nahain rahi Qofl-e-sakaat ab kholay ga kaisay Chabi lay giya hai koe Jaieb main daal kar Band pinjray kay panchi ki Dobti sansain bhi Ab to--------, Darati hain Hazrat Saiyad ko Haq phirta raha Maqsood
Kofa kay bazaroon main Log aksariat ko daleel-e-haq banatay rahay Hosein aur chanchal koe aur bhi ho Mahboob kab gowara kartay hain
(32) Umr bhar towaaf kiya tairay meh'khanay ka Ab lay raha hoon apnay eshq ka emtihan Meh'khana karay towaaf mairay aagay Ja, kab rokta hoon, Itna to bata ja mein nay kiya hai kya Umr bhr sochnay ki yoon saza na day mujh ko Barsoon gul-e-ashr golab tehra Kuch to khuda ka khoof kar nasay Taira chehra nahain raha pehlay jaisa jo baat yaqeen say gozar ja'ay Ossay kehnay ka faeda kiya Mujhy tumhara ehtaram sahi Ho na sakay ga magar mujh say Zameer ka soda Wo gainday ka phool na tha Zulfoon main barood saja rakha tha Kiya kiya saman kiay os nay mairi mout kay
(33) Nae fasal oganay kay bahanay Di mairay shabab ki saza mujhy Aankhain rakhnay ko keh gay hain par ja'ay na kahein mairi nazar Khoon main dobi aastein par Badil thay na mosam sawan ka tha To phir, Logoon ka daman kaisay bheeg giya Jab say insan biknay laga hai Her aankh main rehtay hain Kanch kay taj mahal Jab say Bush ko amaam kiya hai Ghar ghar say, Roshni ka janaza othnay laga hai
(34) Tu lakhoon main eak sahi Hosn par itna na itra Hamala ko sar kiya hai logoon nay Hubal ko tum khuda samjho to samjho Shirk ab mujh say nahain ho ga Musalman ho giya hoon main Os kay bazo foladi hain to kiya Mein bhi simaab pehan kar Maqtal'gah main otroon ga Tairay lambay hath------, Ab kah kha jaein gay Bhokhay piyasay log Jism main bijli bhar kay aata hai aanay doo----Aanay doo, Mein nay pehan liay hain rabar kay dastanay
(35) jab her soo mout ka manzar ho Ababiloon kay par kaat kar Hosn ki rkhsha kaisay ho gi?! Tum mairay apnay ho, Kaisay yaqeen kar loon Shanakhti kard jaili bannay lagay hain Tum kiya jano chand sitaray Tariki say laray hain Phir ja kar latay hain, Sharaq say suraj nikal kar Sochoon par pehra tha Hont silay howay thay Odhar koe khanjar aazma tha Woh jo miray andar tha Mein os ko, khud ko Qarya qarya dhond raha tha
(36) Jab tak roshni aasman say aati rahay gi Tairi rooh bai'noor rahay gi Jognu ko phir misal bana'ay ga koon????? Ghaza otaar kar rubaru aao Dil ka koe ta'alaq bhi banay Asli cehray aiyar nahain hotay Mira haq hai to day doo Na doo gay to lay loon ga bhik main milti kalaan Kab kush rahi hain mujh ko Khud say bai'wafae ka sadma kuch aisa howa Aankhoon nay,Shab'nam ki zarorat say Bala'tar kar diya mujh ko Eak pathar ka sina chirain nikalain lal-o-gohar Aag bhi Ek tu, pathar ka pathar
(37) Subh ko kalar par sajay rehtay hain Ratain darwazay par basar hoti hain Tamiz-e-rooz-o-shab nahain rahi ab mujh ko Aankhoon main kajil palkoon par afshaan Kitna bara jhoot bola hai, Woh "aankhoon par bitha lain gay mujh ko" Jab say aankhoon main basay hain Faza main likhi tehrirain Kab nazar aati hain mujh ko Kahay par, kab etabaar raha hai Aankhain mil jaein to Tairay cehray ki her tehreer parhoon Aaj khol kar bars paro Yah aa'ay rooz ka barsana Mar dalay ga ek din mujh ko
(38) Aqidat ki hadoon ko lagam doo Ek rooz kahein os ko Sajda na rawa ho ja'ay Jis kay jism main kushbu ki bijliaan thein Wohi to tha Tahi'daman jo kar giya mujh ko Saqiya! Hum kayoon mint'kash hoon tiray Gham-e-doraan main wo nasha hai Jo nasha nahain tairi sharaab main Jao ossi say nibah karo Hum kab adi hain Ogli ghaza khanay kay Janay kiya ho giya hai zamanay ko Hadees-e-dilbari bhool giya hai aur Jawani sharat-e-payambri ban gae hai Hosh kab tha Zanu par os kay jab maira sar tha Hosh aaya to zanu tha na sar tha
(39) Jab say dil ka kaha mana hai Ghar kay sab rastay bhool giya hoon Shaam hoe hai shaam say pehlay Aag ho kah hosn ki tajaliaan Apni asal main yah donoon Jala dainay ka kaam karti hain Sitaray , roshni laitay rahay jis say Wo to tairgi bach raha tha Chandi par sonay ka pani charha kar Shahein ho kah kargas Khala kay donoon mahtaj rahay hain Dil makan ki hadoon say bahir rehta hai Suraj say kaho Oon ki aankhoon say sabaq lay Zamana'sazi ka yahhi taqaza hai
(40) Mairi nadani to zara daikho Jo bai'kasi kay kichar main para tha Mein dhondta raha ossay sitarroon main Mairi qabr par charaghaan na karo Roshni bacha lo Edhar hi aa raha hai mahboob tumhara Mehromi-e-dil ki baat na kar Viran kayoon chaman hota Sinay main agar dil hota Bai’kar main ashkoon ko zaya na kar Tairi mihabat main jo mar raha hai Tofa main kuch to ossay daina ho ga Aksar haal-e-dil keh daita hoon Mein to apna raaz, raaz nahain rakh sakta Gher ko apna kahoon to kahoon kaisay
(41) Suraj ko rook lo Shaihar-e-eshq ko janay wala Koe sar salamat nahain raha Mairay jism ka her aza dagh dala Yah bhi os ki nafrat ka ejaj hai Ab bhi janaza mira othnay nahain daita Rokta, koon rokta os ko Mein nay daikh liya tha Her hath os kay hath tha Os ki aankhoon mein sharab ki masti kab thi Lahu pi kar aa raha tha Apnay hi chahnay waloon ka Devtaoon say woh kuch kam na tha Dajjaal ki yah khaslat agar os mein na hoti Ossi aankh daikhta raha* mairay raqeeb ko bi ----------------* dajjal yak chasham ho ga
(42)
Hes-e-naz-o-ada chein kar Hosn ko zindagi bakhsh di Yoon bojha charagh, kisi mazaar ka Jaal daikh liya tha mein nay Moqadar main qaid likhi thi, warna Su-e-zindagi Qadam oth bhi gay thay Dast-e-shafqat khinch lo bara karam ho ga Yaad aa janay doo Mein bhi kabhi apnay paoon chala tha Woh miri dulhan hoti to koe baat bhi hoti Bhool to yahhi hoe hai Apnay lahu say sajata raha mein os kay hath Badloon ka bharosa kiya Chaman ki kalyaan piyasi hain Mahboob kay lahu say oon ki piyas Tuhain bhojana ho gi
(43) Pichli rafaqat say mujhy inkar nahain Tum toba karo kah jatay ho
Humain to jina hai koe din aur Woh maira shreek-e-safar tha Kuch to os par haq tha Inkar sahi, hisa to mila Nadeem-o-Wazir ko kayoon parhta Ghiz-o-ghazab main ek chehra Diwan-e-Mir-o-Mirza say kam na tha Apnay qatl ka alzam mein kis ko doon Qatloon ki saaf main Khud mein bhi to tha Hosn shanasi koe khail nahain Her aankh ek paimana hoti hai Jabreel bhi sajda main shamil tha
(44) Taira miray ghar aana miri izza'afzae sahi Kamar toor di hai mehngae nay achay bhaloon ki Ab khaab main aaya karo, yahhi kafi hai Jab tak miltay rahay bazaroon main Oon ki her ada achi lagti thi magar
Jab say mairi duniya main aa'ay hain Jan say jan-e-bawarchi khana ho gya hoon mein Maira aalu sa sar daikh kar log samjhtay hain mujh par danish meharban ho gae hai Eshq main maira sar kay kabal chalna onhein yaad nahain Jin zulfoon main dil atak giya tha Wo daraz zulfain ja ponchi hain Shrif Darae kalinar ki dokan par Mein bivi say kab darta hoon Kaanp jata hoon Jab koe tofa pokar othta hai: "Mein to tiray jotay tira sar hoon"
(45) Tairi mohabat main ehsas jaga hai Kafan bantay hain jin pholoon say Khushbu hoti nahain oon pholoon main Iraday to pahar hotay hain Hawaoon main itni sakat kahaan Phir dain rokh paharoon ka Aaftab agar mairi dastaras main hota
Bicha daita os ko tirgi kay dar par Lay liya tha os nay mairay fareshtay say qalam Likh diya apna hisaab mairay hisaab main Aur sitam dhao agar dha sako Mein wo darya hoon, Jis kay moqadar main sirabi nahain Lahu ki botal kiya karay gi os jism main Zindagi ka ehsas nahain jis jism main
(46) Qalam ki azmat ko man bhi laitay to kiya hota Wo hath to qalam tha jis hath qalam tha Qanoon ki yah majbori hai Jab jis kay hath aata hai Os ka ossay hona hota hai Daras-e-sadaqat say pehlay wa'az Ja Karbala say ja kar Sadaqat ki qimat to poch Go sab rastay Farat ko jatay hain
Jo pani Asghar ka na ban saka Maira ban sakay ga?!
((47) Khush aamdeed magar zulmatoon ka safar hai Ankhoon main apni rakh kar charagh niklo Shahidoon ki kahaniaan tairi zoban par hain Tum bhi to kabhi lahu pehan kar niklo Auroon ka tamasha daikhnay walo Kabhi khud bhi ban kar tamasha niklo Jab kabhi pani main mahtaab otray Tum apnay mun main piyas otar kar niklo Lafzoon main to darya qaid kartay ho Maza jab hai diwaar-e-makar gira kar niklo
(48) Zindagi kay khail zindagi tak hain Tariki main doob janay walay Kab subh tak hain Umr bhar dukh jin ka moqadar raha Zinda dukh ki dosti tak hain Aati nasl ko koon batla'ay ga Wo padaeshi aleel kayoon hain? Johar nikli ghaza khatay rahay hain oon kay aslaaf
(49) Rakh aaya hai woh jis diwar par aankhain Paar os kay sehra ka maskan hai Zamein kay waraso otho kuch to karo warna Darinday kha jaein gay zamein ki ronaqain Janay Esa kab aasman say otray Karbala ki khaak say namood-e-subh ho gi Koon rook sakta hai rasta Hussain ka Wo aankhain jo kasi par pathar barsati hain Log hain kah Budh kay bhikshu hoon jaisay Raiat kay darya main piyas og aae hai Phir koe Zainab nangay sar aa gae ho jaisay Agar ab bhi koe jinay ka jawaz hai to Anna ki hiddat mairay sinay main koe otar day
(50) Os aankh main kiya kami thi jis aankh main nami thi Zirra pehhan kar aatay to koe baat bhi thi Tum to golaab pehhan kar aa gay ho Mordoon ki shaihar main kab kami thi Farishtoon ko gonah ki lazzat kiya maloom Essi liay oon ko Khalafat-e-arzi mili nahain thi Khaloos ko palkoon par saja kar latay Dil ko bhala koon daikhta hai Shaihar'dari phail gae thi Jis kap main cha'ay nahain hoti Hont os kap ka moqadar nahain bantay Yah rasam to shoru say chali aati hai
(51) Mein koon hoon yah faisla woh kar raha tha Jo apni zaat say door hat giya tha Oon sharaab aankhoon nay aisa sehar kiya Bhook ka sara khomar chat giya Badloon ki aaghosh main bijliaan thein Bujh giya mairay jism main jo sharar tha Kanch jismoon ko "yoonhi" samjhnay wala Zakhm zakhm ongliaan liay phirta tha Dastaras main tairay jab kaenaat ho gi Yaad rakh mein kahein aur chala jaoon ga Mairi mohabat ka emtihan lainay wala Mohabat ki abjad say na’aashna tha “Toor aaya hoon fakhtaoon kay sab anday” Yah bool, pathar ka jism bool raha tha Mairay inkar ki dastan to likh di os nay Os kay hath par lahu, mowarakh likh na saka
(52) Chragh othwa kar bijli lagwa di hai Maira baita kab janta tha yah Bijlioon ka daraya howa hoon mein Jin qandiloon par koe charagh na tha Wo qandilain jal othi hain, Tairgi say dar kar Jin wadioon par tairi rahmatain barsi hain Daikhna og aaeingay wahaan Insanoon kay sar Sar jhoka kar sar bacha lain gay Es basti main woh log nahain rehtay Sar-e-mehfil jhoot khool daita magar Maravat ki qaba thi mairay badan par Zamanay bhar ki zillatain seh kar Jo naafratain mein nay pali thein Aaj bacha gaein mairay jhonpray ko Maira qatl tum par dushwaar nahain tha magar Piyas umr bhar sonay na daiti tum ko
(53) Raat kay sinay main bu giya hai jo fasl Ogain gay suraj ab her khilyan main Darya ko bhala pani ki kiya talab thi Woh to admi ka zaraf daikh raha tha Bolbal ki baiqarari yoonhi na thi Daikh raha tha wo Lala-o-gul main qatil ki aankhain Geroon ki tara woh mairi qabr par aa’ay Kuch to takallaf kiya hota “pagal hoon” chara’gar ka fatwa tha Edher mein haad-e-jabr aazma raha tha Kehnay ko to sab keh daitay hain Bara mushkil hai karbala ka rasta Hussain kay koch main iraday thay Bai’irada aa giya hoon mein Piyas kay darwazay tak Pul toot jaein agar Kinaroon kay rabtay nahain rehtay
(54) Umr bhar ki riaiztoon ka sila Dasht-e-tanhae mila Os mehfal say jo bhi otha Yaad main apni woh Ansuoon ki mala choor giya Lahu ka sina cheer kar Hawaoon ka jab gozar howa Koe zinda, zinda na raha Haan miti ka ek diya jalta raha Apni fatha ka yaqein tha jis ko Os ki kaaman main Ek teer bhi na bacha tha Jab mein poncha Meh’khana rindoon say ata para tha Saqi ka magar ata pata na tha Pait ka jahanum jab bharak otha Qadmoon ko bach kar Bisakhiaan woh khareed raha tha Sanp bachay say aziz’tar tha os ko Apnay hathoon woh os ko Dudh pila raha tha Roshni ki talash say pehlay Chahar soo woh Andhairay phila giya tha Basharat ka darwaza khool day Zulm aakhir zulm hai Maat kha hi ja’ay ga
Zulm ki haad to daikh lainay doo Hosla barhay ga jitna woh aazma’ay ga
(55) Dhoop ki tamazat main piyas liay khara tha Kash os sa abar, araz-e-bimaar par otray Adawatoon ki manzil hai ranjashoon ka yah safar hai Golab ki khushbu ban kar koe qalab-pur’aazar par otray Bond bond darya kiya jis jism ko maan nay Mar na ja’ay gi wo maan Bai’sabab wo lahu, talwaar ki dhar par otray Jis chonch main ek nasl ki baqa ho Qiyamat hai, os chonch par koe oqaab otray
(56) Phool to ponchay thay apni umr ko Matam to ghonchoon par barpa hai Paimanay ehtaraman tehar gay hain Abhi abhi koe mehfal say otha hai Fareshtay daad daitay hoon gay Ablees insan say maat kha giya hai Subh dastak dainay aagae hai Jaam mujh tak ponch giya hai Visaal to nishan-e-manzil hai Warna manzil par kab koe poncha hai
(57) Mein baharoon ki talash main kayoon nikloon Wo khud aaein gi mairay ghar par Agar oon ko mairi zarorat ho gi Shaoor-e-sitam logoon kay moqadar main nahain Radha hi Bagwan rahay gi Koon jamhoor ki taal sakay ga Bachoon ko na sikhao Majnoon kay atwaar Oon ki manzil apni hai Onhain lafzoon ki gira kholnay doo Shaihar-e-bai’basar ka yah ravaj kaisa hai Edhar shoor zamein ka mazaj daikhna aaya Other kae faslain kaat ga’ay log Khala main phala kar hath Bohat sharminda howa Bantnay wala to mujh main hi tha
(58) Jin darwazoon par dastak di thi Wo kholtay nahain ko-e-yaar ki janib Apnay honay ka yaqeen tha mujh ko Chalan lay giya kocha-e-daar ki janib Jis gulistan main baharoon ka basaira tha Lay gae hawa ossay Sehra-e-bai’kinar ki janib Wo nazr kab nazr rehti hai Oth jati hai jo sarkar ki janib
(59) Oon ki bai’wafae ka gila karta raha dil Khud say baiwafae ossay yaad nahain Jahaan aa tehra hai qafla-e-sabr-o-qarar Jaltay hain khird kay baal-o-par wahaan Mujhy maloon na tha tumain jald jana hai Warna kayoon bachata pachtawa apnay liay Jab bhi otra hai chand mairay aangan main Lay aa’ay hain taraqi ki dulhan saja kar Pehlay se koe dawa doo Tabeeb ko magar marz yaad nahain Woh mujhy mairi oqaat batatay hain Jin ki apni koe oqaat nahain Ek tasalsal sa hai qisa ha’ay eshq main Aakhir kab tak taqleed-e-majnoon-o-farhaad karain
(60) Jis jurm ki saza bhogat raha hoon Wo jurm to ahal-e-karam nay kiya tha Teh mein janay nahain daitein Lehrain mairi lash ko Day raha hai darya doob janay ki saza Mairi zindagi main aag bhar di thi os nay Ab rooz aata hai mairi qabr par deep jalanay* kay liay Pura shaihar sajda main tha Jo ghart-e-chaman tha Saleeb par latka howa tha Ameer-e-shaihar par sab ko naz tha Khareed raha tha wo roshni bach kar aankhain Fareshtay sajda main kayoon na girtay Aadam ko apnay honay par yaqeen tha Essay maira taghafil na samjho Aaoon ga ab mein tumharay paas Dha kar aasman ko ----------------*aag
(61) Baat aankhoon ki hoti to koe baat bhi thi Moamla dil say aan para hai Daktar ki fees nahain rahi mairi basaat main Mohabat main faraib say kaam na lo Sachae kay sab rastay hain Hussain kay rastay say ja miltay hain Mohabat say jab koe maira naam laita hai Samjh jata hoon mein Emtihan ki pul’sarat say gozarnay wala hoon Jis lahu main surki hoti hai Wo lahu darta nahain Karbala koch kar janay say Woh gohray bach kar sota raha Edhar raat kha gae roshni ko Apna haq lay na saka aur khud’koshi kar li Mein qais-o-farhad nahain jo sar-e-daar aaoon ga
(62)
Mohabat kab paas’dar rahi hai Qadroon ki taqazoon ki Izhaar ko faqt ek bahana chahiay Jin aankhoon kay hum ghulam thay Wo aankhain to girvi pari thein Eak sath ki tajuri main Jis aanchal main panah chahi thi Os aanchal kay her taar main Hydrogan thi Fasphoras tha Jo shaihar lahu lahu tha Pholoon ka kho’gar Os shaihar ko ghar banata kaisay?! Majnoon ki taqleed na kar “Shosha” say kocha-e-mahboob main ja Eak kiya, Sab mahboob tumharay hoon gay Nahain, nahain yah kaisay yaqein kar loon Aansu palkoon par bai’sabab aaya nahain kartay
(63) Mujh par reham karnay ka tumhain kiya haq hai Zest kay moqabil khara hoon jan janay tak
Jo aag main kood giya Khaleel tha Mairay liay aag, Aag rahay gi yaqein aanay tak Yaqeen karnay na karnay say kiya faraq parta hai Khuda moamma hi rahay ga rubaru aanay tak Sharaab main agar nasha hota Tujhy bhool jata, hosh aanay tak Hakayaat-e-majnoon sonnay ki kisay forsat hai Zinda ho to, Zindagi ki koe baat karo Abhi para rehnay doo maira janaza oon kay dar par Yoon ja na sakain gay woh miray raqeeb kay dar par
(64) Mein takhleeq’kar hoon Mairay sabr ki haad tum nay kab daikhi hai Tum dhatay chalo mein banata jaoon ga Log samjhy khatam hoe eshq ki kahani Kacha ghara darya lay kar Darya main otar giya
Mohabat ko yoon roswa na kar Tairi zoban moravat main rahi Dil ki baat to aankhoon main thi Baikar galyoon main dhondta raha Choor to miray apnay dil main tha Chop ho ja, apni nasiat apnay paas hi rakh Agar wo jalna tarak kar dain gay Onhain parwana koon kahay ga
(65) Mairay khaab jin aankhoon main paltay rahay Oon aankhoon ko binae ki zarorat na rahi Choor loot kar lay gay Zindagi aur saman-e-zindagi Charagh-e-shab apni bai’basri par rota raha Jalaad!
Khaak taira yah kamal hai Aman pasandoon ko Marnay waloon ki sisakiaan sonay nahai daitein Jabreel ka ab yahaan koe kaam nahain Zamein ka vadairayahhi kehta hai: “Linkan” ki kitaab kafi hai insan kay liay Her phool ki ragoon main zehar bhar di Marnay walay bhi nafrat ki fasl kata karain
(66) Eak bar hi qatal kar doo Apnay sakht jan ashaq ko Ya phir rosvae ka gila na kiya karo Lay jao mujhy koe itaraz nahain Par itna bata doon Ronay kay siwa es dil ko koe kaam nahain Shoor zamein main golaab bu kar Khush’bu ki jo tamanna kartay hain Oon say barh kar koe ahmaq ho ga?!
Nasha sharab ka ho kah shabab ka Mabood bana daita hai insan ko Maslihat pasand insanoon ka Naqaab othany ka takallaf na kar Tairay atwaar say mein nay Parh liay hain Tairay cehray kay sab khad-o-khaal Mairi dunyaan main na aao Pehlay hi say dara howa hoon Jan lay lay na kahein taira yah surkh libas