Mein Raj Virk

  • June 2020
  • PDF

This document was uploaded by user and they confirmed that they have the permission to share it. If you are author or own the copyright of this book, please report to us by using this DMCA report form. Report DMCA


Overview

Download & View Mein Raj Virk as PDF for free.

More details

  • Words: 841
  • Pages: 11
Mein Raj Virk.Aaj mujhe meri book ke liye award milne wala hai.mujhe pata nahi ke mein is award ke kaabil hoon b ke nahi.Maine yeh kahani kisi award ke liye nahi balkee ek insaan kee sachi mohabbat ko darsane ke liye likhi thi.Mein chahta tha kee meri kahani logon ke liye kuchh naye mayane leke aaye. Aaj mere liye 23 April ka din bahut hee khaas hai.Aaj mujhe hamari desh kee president ke hathon award milne wala hai.Sare Desh kee media aaj president house mein hee dera dale hui hai. Ek –ek karke naamo kee announcement ho rahi thi.dil mein

mere kuchh darr bhi tha aur kushi bhi. aur president g ne mera naam announce kiya-this year best writer award goes to mr.raj for his book. Har taraf taaliyon kee gadgadahat thi.Aisa lag raha tha kee mera koi sapna sach hone jaa raha tha. Jab mein president house se bahar nikla mujhe media is tarah gher rakha tha jaise kee gud ko makhiyon.Unke bahut sare sawalon ke mano jaise ke jhadi hee lag gaye ho.jaise kee Aap ko prerna kahan se milee? Kya aap ne pehle bhi koi kahani likhee hai? Kya yeh kahani kisi sachi ghatna par hai?

Kya aap aage bhi koi aisee hee kahani likhenge? Mera bas itna hee kehna tha –mujhe nahi lagta kee mein phir kabhi aisi kahani likh sakoo. Kya aap hame kahani ke bare kuch bata sakte hain. Yeh baat un dino kee hai jab mein college mein tha.Hamare exams over ho chuke the.mere sabhi dost apne families ke saath chuttian celebrate karne jaa rahe the.they all r very excited about their trips.par mujhe koi excitement nahi thee.mein jab se bada hua tab se hee mere dada g hame bilaspur(himachal) ke wahi hill station par le ke jate the.mujhe pata tha kee mein iss baar phir se bor hone wala tha uska kaaran yeh tha kee mein sare

bilaspur ,uskee ek-ek gali ko pehchanta tha. Mere dada g ek aadat thee veh news mujhe se hee sunte the.har din newspaper padd ke unhe sunana padta tha. Bilaspur mein ek park hai jise log seniors park kehte hain.subah-subah log kasrat karne,dodne aate hain.mein bhi apne dada g ke saath.wahaan par gaya hua tha.mera kaam bas unhe roz kee khabron se avgat karana tha.phir uske baad mere dada g ke kuchh dost un khabron par apne view dete the.us din ke newspaper par ek khabar thee( k ek premi ne apni premika ke chehre par tezaab dal diya hey.kaha jaa raha hai k premi ek tarfa pyar karta tha.voh uske saath saadi karna tha par us ladki ke

mana karne par us premi ne us ladki ke chehre par tezaab daal kar uske chehre ko jalaa diya hey) Yeh khabar sunte hee mera dada g eka-ek hasne lage.sabhi wahan par bethe mere dada g ko haste hue dekh rahe the.mere dada g k ek dost-Indersingh g unse pucch hee liya ...raj kya tum pagal toh nahi ho gaye.tum is tarah hass rahe ho.isme hasne wali kya baat hai. Is sawal ka jawab mere dada g ne badi hee masumiat se diya-unka kehna tha kee aaj kal ke bachhe apne pyaar pana nahi chahte balki cheen lena chahte hain.unhe yeh pata nahi k pyar cheenana nahi balki tyag karna hota hai.aaj insane har woh cheez pana chahta hai jo use pyari hoti hai.par sachai yeh bhi hai ke har woh cheez jo onsaan chahta

hai use nahi milti.uske nahi milne par woh us cheez ko barbaad kar dena chahta hai.woh use pane ka intezaar bhi nahi kar sakta hai. Yeh sunte hee mere dada g k ek aur dost bol pade”yaar raj kya tumne kabhi pyar kiya hai kisi se.kabhi bhi? DADA G-is baat se mere pyaar ka kya lena hai. Tab tak mein bhi josh mein aa chukka tha .maine bhi dada g se keh utha dada g pls batao naa .kya aap ne kabhi pyar kiya hai kisi se .aur bhi unke doston ne puccha. Dada g ne haan mein jawaab diya aur aisa lag raha tha kee wahan par sabhi yehi sun-na chahte hon. Ab sabhi unki love story sun-na chahte the.mere dada g ne kaha mein kal aap sab ko kal apni prem

kahani sunaoo ga.yeh sun sabhi kuchh udaas huye par kal ka vaida kar dada g ne hum sabhi ke mann mein utsaa se bhar diye.ab agli subah ka intezaar tha. Pata nahi woh raat khatam hee hone ka naam hee nahi le rahi the.mere dada g kuchh friend phone karke unhe unke vaide kee yaad dila rahe the.mein bhi soch –soch k kush ho raha tha k kal mein apna dada g-aur dadi g kee prem kahani sunuga.yeh sochte-sochte pata nahi kab meri aankh lag gayee.aur meri neend ghadi kee awaaz se tuti.maine uth ke dekha ,mein late ho chukka tha.mein jaldi se tyaar hua aur park ke aur chal diya .aisa lag raha tha kee mein aaj udd ke parkpahunch jaau.sabhi dada g ko gher kar baithe

the.aisa lag raha tha keedada g mere liye hee ruke hue the.

Related Documents

Mein Raj Virk
June 2020 3
Raj
June 2020 20
Raj
December 2019 31
Raj
December 2019 37
Raj
November 2019 33
Raj
November 2019 27