Song Title: Dil ne phir yaad kiya Movie Name: Dil Ne Phir Yaad Kiya (1966) Actor(s)/Actress(es): Dharmendra, Nutan, Rehman Singer(s): Mohd Rafi, Suman Kalyanpur, Mukesh Music Director(s): Sonik Omi Lyricist(s): G. L. Rawal Category(ies): Sad
Mohd. Rafi: Dil ne phir yaad kiya, barq-si leharaee hai Dil ne phir yaad kiya, barq-si leharaee hai; Phir wohi chot muhobbatki ubhar ayee hai, Dil ne phir yaad kiya… Wo bhi kya din the, humein dil mein bitthaya tha kabhi, Aur hass-hass ke galle tum ne lagaya tha kabhi. Khel hi khel mein yu jaan pe ban ayee hai, Phir wohi chot muhobbatki ubhar ayee hai, Dil ne phir yaad kiya… Suman Kalyanpur: Kay bataye tumhe hum shamma, ke kismat kya hai, Gumm mein jalne ke siva aur muhobbat kya hai; Ye woh gulshan hai, ke jisme na bahar ayee hai, Phir wohi chot muhobbatki ubhar ayee hai, Dil ne phir yaad kiya… Mukesh: Hum wo parwane hai jo, shamma ka dam bharte hai, Husn ke aag me khamosh jala karte hai; Aah bhi nikle, to yeh pyar ki ruswaee hai, Phir wohi chot muhobbatki ubhar ayee hai, Dil ne phir yaad kiya… Mohd. Rafi: Dil ne phir yaad kiya, barfsi leharaee hai; Phir wohi chot muhobbatki ubhar ayee hai; Dil ne phir yaad kiya…