kisi ke gam me doobo kar ! Kisi ke gam me doobo kar aasuon ko , hamne yun armaan sahej kar rakha hai, yaadon ki shaamo me hamesha ki tarah, udaasi ki ghataon ko bula rakha hai ! In surkh padti ret ki chadron per, boodon ki shaklon ko ubhaar rakha hai, yeh daro-deewar kahin bol na uthe, isiliye aawaj is dil ki bhi daba rakha hai ! Dhoomil si hain shaklein ,har waqt badalti rehti hain, yun rango ko humne mila rakha hai, zindagi lamha-b-lamha lamha badhti ja rahi hai, ghadii ki suiyon ko hathon me tham rakha hai ! Bewak se lamho me unki baaton ka tarz bhi shamil hai, isiliye humne har marz daba rakha hai ! Aasman na ud kar chal de kahin badlon ke sang, fariyaad ki ek lau yun bhi to dil ne jala rakha hai !!!!!!!!!! Shaam uth kar chali jaa rahi hai hawaon ke sang, dil ki aahon ko kyun bayaan kar rakha hai ?
(Lalita suman)