Aana Yahaan Tum.. Aana yahaan tum in badlo ke sang udte huye, jana wahaan tum, saye ho khushiyo ke jahaan chhaye huye.. aana yahaan tum..mere dil me ... armaano ke bich..khote huye.. Aana yahaan tum.. Kyun jate ho chor kar mujhe har bar, ek lalak si rehti hai nigahon ko meri, tere chehre ko dekhne ki har bar, ek pyas chor jate ho hamesha, in aankho me hai bas pyar tere liye.. aur hai bas pyar.. aur yahi sochta hai dil har bar.... Aana yahaan tum... !! Aise to nahi rehta hai mahaul dil ka ! mere dil ke tukde ho gaye hain shayad, ya hai har tukde ka kona rotaa hua?? meri nind ki tarah kho gaye hain sare khawab, ya hain meri raatein khoti huyi ! hai har tukde se sawal kuch ubharte huye.. kuch to jawab dene ... Aana yahaan tum... !!
safar lamba hai... tujhe chaha hai.. safar jo lamba hai to tera sath yun chaha hai, ke dard ki har tasweer dhundhli ho jaye, aur hum ho jaye ghum teri yaadon me khote huye.. Aana yahaan tum... !! Ek bar....chor kar sab kuch ek bar... Aana yahaan tum ..!! (Lalitasuman)